Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aarzu rahiba hai

Noon Meem Rashid

aarzu rahiba hai

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    aarzū rāhiba hai be-kas-o-tanhā-o-hazīñ

    aarzū rāhiba hai umr guzārī jis ne

    inhī mahrūm-e-azal rāhiboñ ma.abad ke nigahbānoñ meñ

    in mah-o-sāl-e-yak-āhañg ke aivānoñ meñ

    kaise ma.abad pe hai tārīkī saaya bhārī

    rū-e-ma.abūd se haiñ ḳhuun ke dhāre jaarī

    rāhiba raat ko ma.abad se nikal aatī hai

    jhilmilātī huī ik sham.a liye

    laḌkhaḌātī huī farsh-o-dar-o-dīvār se Takrātī huī

    dil meñ kahtī hai ki is sham.a lau shāyad

    duur ma.abad se bahut duur chamakte hue anvār tamsīl bane

    aane vaalī sahar-e-nau yahī qindīl bane

    aarzū rāhiba hai be-kas-o-tanhā-o-hazīñ

    haañ magar rāhiboñ ko is ḳhabar ho kyūñkar

    ḳhud meñ kho.e hue sahme hue sargoshī se Darte hue

    rāhiboñ ko ye ḳhabar ho kyūñkar

    kis liye rāhiba hai be-kas-o-tanhā-o-hazīñ

    rāhib istāda haiñ marmar siloñ ke mānind

    be-karāñ ijz jāñ-soḳhta vīrānī meñ

    jis meñ ugte nahīñ dil-sozi-e-insāñ ke gulāb

    rāhiba sham.a liye phirtī hai

    ye samajhtī hai ki is se dar-e-ma.abad pe kabhī

    ghaas par os jhalak uTThegī

    sang-rezoñ pe koī chaap sunā.ī degī

    aarzu rahiba hai be-kas-o-tanha-o-hazin

    aarzu rahiba hai umr guzari jis ne

    inhi mahrum-e-azal rahibon mabad ke nigahbanon mein

    in mah-o-sal-e-yak-ahang ke aiwanon mein

    kaise mabad pe hai tariki ka saya bhaari

    ru-e-mabud se hain KHun ke dhaare jari

    rahiba raat ko mabad se nikal aati hai

    jhilmilati hui ek shama liye

    laDkhaDati hui farsh-o-dar-o-diwar se Takraati hui

    dil mein kahti hai ki is shama ki lau hi shayad

    dur mabad se bahut dur chamakte hue anwar ki tamsil bane

    aane wali sahar-e-nau yahi qindil bane

    aarzu rahiba hai be-kas-o-tanha-o-hazin

    han magar rahibon ko is ki KHabar ho kyunkar

    KHud mein khoe hue sahme hue sargoshi se Darte hue

    rahibon ko ye KHabar ho kyunkar

    kis liye rahiba hai be-kas-o-tanha-o-hazin

    rahib istada hain marmar ki silon ke manind

    be-karan ijz ki jaan-soKHta virani mein

    jis mein ugte nahin dil-sozi-e-insan ke gulab

    rahiba shama liye phirti hai

    ye samajhti hai ki is se dar-e-mabad pe kabhi

    ghas par os jhalak uTThegi

    sang-rezon pe koi chap sunai degi

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now