aarzu
ye razā-e-rabb-e-jalīl thī
ki nabī ne sair kī arsh kī
koī soyā sāya-e-teġh meñ
to razā-e-rabb-e-jalī milī
kabhī tuur pe huī intihā
ki ḳhudā bhī jalva-numā huā
kabhī rahmatoñ kā nuzūl thā
kabhī ishq kā ye husūl thā
ki nihāyat us kī husain thā
kahīñ ārzū-e-vatan huī
kahīñ ḳhāmushī bhī suḳhan huī
kahīñ chāhatoñ kā ḳhirāj thā
ye raza-e-rabb-e-jalil thi
ki nabi ne sair ki arsh ki
koi soya saya-e-tegh mein
to raza-e-rabb-e-jali mili
kabhi tur pe hui intiha
ki KHuda bhi jalwa-numa hua
kabhi rahmaton ka nuzul tha
kabhi ishq ka ye husul tha
ki nihayat us ki husain tha
kahin aarzu-e-watan hui
kahin KHamushi bhi suKHan hui
kahin chahaton ka KHiraj tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.