aas-mahal
ek rū-pahlī sī choTī par
jagmag jagmag jaag rahā hai ās-mahal
ūñchī ūñchī rañg-rañgīlī dīvāreñ haiñ
chāroñ jānib har patthar par
maanī aur bahzād se baḌh kar
na.e anokhe naqsh bane haiñ
dīvāreñ haiñ kitnī anokhī
jin meñ lākhoñ taaq bane haiñ
in tāqoñ meñ merī āñkheñ
larzāñ larzāñ dīpak ban kar
har-dam jaltī rahtī haiñ
aur ye mere nirmal aañsū
Dare Dare se sahme sahme chehre ban kar
jaane kis ko jhāñkte haiñ aur chhup jaate haiñ
baḌe baḌe āseb-zada in kamroñ meñ
bhūlī-bisrī yādeñ us kī
dabe dabe paañv chaltī haiñ
jin kī aahaT ruuh ke suune dālānoñ tak
chīḳheñ ban kar aatī hai
jaane kab se ās-mahal se
maiñ āñkheñ aur aañsū ban kar
vīrāñ vīrāñ suunā suunā
andhā rasta dekh rahā huuñ
ek ru-pahli si choTi par
jagmag jagmag jag raha hai aas-mahal
unchi unchi rang-rangili diwaren hain
chaaron jaanib har patthar par
mani aur bahzad se baDh kar
nae anokhe naqsh bane hain
diwaren hain kitni anokhi
jin mein lakhon taq bane hain
in taqon mein meri aankhen
larzan larzan dipak ban kar
har-dam jalti rahti hain
aur ye mere nirmal aansu
Dare Dare se sahme sahme chehre ban kar
jaane kis ko jhankte hain aur chhup jate hain
baDe baDe aaseb-zada in kamron mein
bhuli-bisri yaaden us ki
dabe dabe panw chalti hain
jin ki aahaT ruh ke sune dalanon tak
chiKHen ban kar aati hai
jaane kab se aas-mahal se
main aankhen aur aansu ban kar
viran viran suna suna
andha rasta dekh raha hun
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-276 p-264)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.