aas
post-man kī cycle kī ghanTī
mere dil kī dhaḌkaneñ baḌhā detī hai
ḳhat haath meñ aate hī
un kī yādeñ bhī saath chaltī aatī hai
ek mad.hosh karne vaalī lifāfe kī ḳhushbū
zehn par chhā jaatī hai
siyāhī kī likhāvaT
us kī uñgliyoñ kī chhuvan yaad dilātī hai
kāġhaz kā khurdurā ehsās
dil ko gudgudātā hai
patr par likhā mazmūn
ThanD kī garm chaa.e sā garmātā hai
aise jaane kitne ḳhat Dākiya laatā rahā
aur har dīvālī par inhīñ ḳhatoñ kā in.aam paatā rahā
post-man ki cycle ki ghanTi
mere dil ki dhaDkanen baDha deti hai
KHat hath mein aate hi
un ki yaaden bhi sath chalti aati hai
ek madhosh karne wali lifafe ki KHushbu
zehn par chha jati hai
siyahi ki likhawaT
us ki ungliyon ki chhuwan yaad dilati hai
kaghaz ka khurdura ehsas
dil ko gudgudata hai
patr par likha mazmun
ThanD ki garm chae sa garmata hai
aise jaane kitne KHat Dakiya lata raha
aur har diwali par inhin KHaton ka inam pata raha
- Book : Kya Keh Rahi hai Zindagi (Pg. 125)
- Author : Mamta Tiwari
- Publication : Pahle Pahel Parkashan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.