aasare
apnī ḳhushiyoñ ke aarzī jazbāt
ġham meñ tahlīl kar rahī huuñ maiñ
koshisheñ haiñ ki ġham sahe jā.ūñ
ḳhud ko tabdīl kar rahī huuñ maiñ
zindagī Dhaal kar masā.ib meñ
apnī takmīl kar rahī huuñ meñ
terī rahmat kā aasrā le kar
apnī tazlīl kar rahī huuñ maiñ
kah rahī huuñ tire sitam ko karam
ḳhuub tāvīl kar rahī huuñ maiñ
maut kī vādiyoñ meñ jaanā hai
kitnī tājīl kar rahī huuñ maiñ
kal irādoñ meñ jaan Dālūñgī
aaj tashkīl kar rahī huuñ maiñ
zindagī kī haqīqateñ 'najma'
sirf taḳh.īl kar rahī huuñ maiñ
apni KHushiyon ke aarzi jazbaat
gham mein tahlil kar rahi hun main
koshishen hain ki gham sahe jaun
KHud ko tabdil kar rahi hun main
zindagi Dhaal kar masaib mein
apni takmil kar rahi hun mein
teri rahmat ka aasra le kar
apni tazlil kar rahi hun main
kah rahi hun tere sitam ko karam
KHub tawil kar rahi hun main
maut ki wadiyon mein jaana hai
kitni tajil kar rahi hun main
kal iradon mein jaan Dalungi
aaj tashkil kar rahi hun main
zindagi ki haqiqaten 'najma'
sirf taKHil kar rahi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.