aaseb
tirī rahguzar ko maiñ yuuñ chhoḌ aayā
ki ik be-navā kī tabāhī kā tujh par na ilzām aa.e
maiñ samjhā thā yuuñ shahar kī raunaqoñ meñ ulajh kar
tirī be-niyāzī ke aaseb se bach rahūñgā
magar jab kabhī maiñ sar-e-shām cafe meñ pahuñchā
to dekhā
ki tū haal ke ek kone meñ ik mez par sar jhukā.e
na jaane kise nāma-e-mushk-bū likh rahā hai
kabhī mall par maiñ ne taxi jo rokī
to dekhā
ki taxi meñ pahle se ik āshnā chehra-e-dil-nashīñ kī ziyā hai
hamesha ye tū thā
kabhī shaam ko maiñ kisī cinema haal meñ jā ke baiThā
to dekhā
ki pahlū meñ tū hai
ka.ī baar maiñ ne tujhe gulshan-e-fātima kī harī ghaas par baiThe dekhā
ka.ī baar bāzār meñ tū mire saath chaltā rahā der tak aur
ka.ī baar tū mere ghar tak mire saath aayā
aur ab apne tārīk kamre meñ baiThā huā sochtā huuñ
tirī rahguzar ko maiñ kyuuñ chhoḌ aayā
teri rahguzar ko main yun chhoD aaya
ki ek be-nawa ki tabahi ka tujh par na ilzam aae
main samjha tha yun shahar ki raunaqon mein ulajh kar
teri be-niyazi ke aaseb se bach rahunga
magar jab kabhi main sar-e-sham cafe mein pahuncha
to dekha
ki tu haal ke ek kone mein ek mez par sar jhukae
na jaane kise nama-e-mushk-bu likh raha hai
kabhi mall par main ne taxi jo roki
to dekha
ki taxi mein pahle se ek aashna chehra-e-dil-nashin ki ziya hai
hamesha ye tu tha
kabhi sham ko main kisi cinema haal mein ja ke baiTha
to dekha
ki pahlu mein tu hai
kai bar main ne tujhe gulshan-e-fatima ki hari ghas par baiThe dekha
kai bar bazar mein tu mere sath chalta raha der tak aur
kai bar tu mere ghar tak mere sath aaya
aur ab apne tarik kamre mein baiTha hua sochta hun
teri rahguzar ko main kyun chhoD aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.