aaseb
ye merā vahm hai shāyad
magar aksar
mire har har nafas se be-sabab paiham ulajhte
silsiloñ kī raushnī meñ
mujhe mahsūs sā hone lagā hai
ki har lamhe kī sangīñ oT meñ
simTā huā hālāt kā ifrīt
shikast-o-reḳht ke darpe
barābar taak meñ baiThā huā hai
yahī hālāt kā ifrīt
inhī lamhoñ kī parbat se utar kar
vasūq-e-jabr se chhā jā.egā yalġhār ban kar
taraddud se tadabbur se tarāshī
in fazāoñ par
jinheñ ḳhush-fahmiyāñ merī
abhī tak shauq se detī rahī haiñ
suhānā naam apnī kā.enāt-e-zehn-o-dil kā
ye merī kā.enāt-e-zehn-o-dil bhī
agar is umr ke mahdūd arse tak
mirā hissa nahīñ hai
mire a.amāl par mabnī
na koī haal hai merā
na kuchh ummīd fardā kī
mire a.amāl par mabnī
mirī uqbā bhī kyā hogī
mirī uqbā bhī kyā hogī
ye mera wahm hai shayad
magar aksar
mere har har nafas se be-sabab paiham ulajhte
silsilon ki raushni mein
mujhe mahsus sa hone laga hai
ki har lamhe ki sangin oT mein
simTa hua haalat ka ifrit
shikast-o-reKHt ke darpe
barabar tak mein baiTha hua hai
yahi haalat ka ifrit
inhi lamhon ki parbat se utar kar
wasuq-e-jabr se chha jaega yalghaar ban kar
taraddud se tadabbur se tarashi
in fazaon par
jinhen KHush-fahmiyan meri
abhi tak shauq se deti rahi hain
suhana nam apni kaenat-e-zehn-o-dil ka
ye meri kaenat-e-zehn-o-dil bhi
agar is umr ke mahdud arse tak
mera hissa nahin hai
mere aamal par mabni
na koi haal hai mera
na kuchh ummid farda ki
mere aamal par mabni
meri uqba bhi kya hogi
meri uqba bhi kya hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.