aashiq aashiq bol
tū zāhid hai maiñ āshiq huuñ be-vaj.h na mujh ko ta.ane de
tū jā ke haj kā farz nibhā mujhe merā yaar manāne de
mat de tū jhūTe fatve re tū kufr na itnā tol
mujhe kāfir kāfir chheḌ na ve tū āshiq āshiq bol
maiñ pyaar usī ko kartā huuñ jis mālik se tū Dartā hai
dil andar mere rahtā hai tū sajde jis ko kartā hai
tū bātil bole duī ko tauhīd kā qaa.il maiñ bhī huuñ
jo ḳhalq hai tere ḳhāliq kī us andar shāmil maiñ bhī huuñ
har shai meñ dikhā.ī degā vo tū man kī āñkheñ khol
mujhe kāfir kāfir chheḌ na ve tū āshiq āshiq bol
tū pāñch namāzeñ paḌhtā hai maiñ har-pal us ko yaad karūñ
tū gin-gin roze rakhtā hai maiñ kabhī na koī hisāb karūñ
har den qubūlūñ maiñ us kī tū kartā hai parhez baḌe
maiñ dil kī chaah karūñ puurī tū sirf adā-e-farz kare
tū ka.abe meñ na DhūñDh sakā maiñ ne dil meñ liyā TaTol
mujhe kāfir kāfir chheḌ na ve tū āshiq āshiq bol
tū rāh-e-sharah par chaltā chal mujhe rāh-e-ishq pe chalne de
tirā zuhd mubārak ho tujh ko mujhe yaar ke rang meñ Dhalne de
bar-vaqt namāzeñ paḌhtā jā mullā kī bāñgeñ sun kar tū
mujhe gaane de re gaane de bas anhad naad kī dhun par tū
jis dhun kā mere dil andar din raat baje hai Dhol
mujhe kāfir kāfir chheḌ na ve tū āshiq āshiq bol
tire paas kitāb ilāhī hai tū nit-nit is ko khol
mire dil meñ kātib rahtā hai mire saath rahā hai bol
mujhe kāfir kāfir chheḌ na ve tū āshiq āshiq bol
tu zahid hai main aashiq hun be-wajh na mujh ko tane de
tu ja ke haj ka farz nibha mujhe mera yar manane de
mat de tu jhuTe fatwe re tu kufr na itna tol
mujhe kafir kafir chheD na we tu aashiq aashiq bol
main pyar usi ko karta hun jis malik se tu Darta hai
dil andar mere rahta hai tu sajde jis ko karta hai
tu baatil bole dui ko tauhid ka qail main bhi hun
jo KHalq hai tere KHaliq ki us andar shamil main bhi hun
har shai mein dikhai dega wo tu man ki aankhen khol
mujhe kafir kafir chheD na we tu aashiq aashiq bol
tu panch namazen paDhta hai main har-pal us ko yaad karun
tu gin-gin roze rakhta hai main kabhi na koi hisab karun
har den qubulun main us ki tu karta hai parhez baDe
main dil ki chah karun puri tu sirf ada-e-farz kare
tu kabe mein na DhunDh saka main ne dil mein liya TaTol
mujhe kafir kafir chheD na we tu aashiq aashiq bol
tu rah-e-sharah par chalta chal mujhe rah-e-ishq pe chalne de
tera zuhd mubarak ho tujh ko mujhe yar ke rang mein Dhalne de
bar-waqt namazen paDhta ja mulla ki bangen sun kar tu
mujhe gane de re gane de bas anhad nad ki dhun par tu
jis dhun ka mere dil andar din raat baje hai Dhol
mujhe kafir kafir chheD na we tu aashiq aashiq bol
tere pas kitab ilahi hai tu nit-nit is ko khol
mere dil mein katib rahta hai mere sath raha hai bol
mujhe kafir kafir chheD na we tu aashiq aashiq bol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.