aashob-e-agahi
koī batlā.e mujhe
mere in jāgte ḳhvāboñ kā muqaddar kyā hai?
maiñ ki har shai kī baqā jāntā huuñ
uḌte lamhoñ kā patā jāntā huuñ
sard aur zard sitāroñ kī tiqāpū kyā hai
rañg kyā chiiz hai ḳhushbū kyā hai
sub.h kā sehr hai kyaa, raat kā jaadū kyā hai
aur kyā chiiz hai āvāz-e-sabā jāntā huuñ
ret aur naqsh-e-qadam mauj kā rum
aañkh aur gosha-e-lab zulf kā ḳham
shaam aur sub.h kā ġham
sab kī qismat hai fanā jāntā huuñ
phir bhī ye ḳhvāb mire saath lage rahte haiñ
jāgte ḳhvāb ki jin kī koī ta.abīr nahīñ
koī tafsīr nahīñ
sūrat-e-zaḳhm hare rahte haiñ
mere hāthoñ se pare rahte haiñ
āgahī jahl se bad-tar Thahrī
jāgte ḳhvāb kī ta.abīr muqaddar Thahrī
zindagī mere liye gumbad-e-be-dar Thahrī
maiñ ki āvāz-e-sabā jāntā huuñ
uḌte lamhoñ kā patā jāntā huuñ
aur har shai kī baqā jāntā huuñ
koi batlae mujhe
mere in jagte KHwabon ka muqaddar kya hai?
main ki har shai ki baqa jaanta hun
uDte lamhon ka pata jaanta hun
sard aur zard sitaron ki tiqapu kya hai
rang kya chiz hai KHushbu kya hai
subh ka sehr hai kya, raat ka jadu kya hai
aur kya chiz hai aawaz-e-saba jaanta hun
ret aur naqsh-e-qadam mauj ka rum
aankh aur gosha-e-lab zulf ka KHam
sham aur subh ka gham
sab ki qismat hai fana jaanta hun
phir bhi ye KHwab mere sath lage rahte hain
jagte KHwab ki jin ki koi tabir nahin
koi tafsir nahin
surat-e-zaKHm hare rahte hain
mere hathon se pare rahte hain
aagahi jahl se bad-tar Thahri
jagte KHwab ki tabir muqaddar Thahri
zindagi mere liye gumbad-e-be-dar Thahri
main ki aawaz-e-saba jaanta hun
uDte lamhon ka pata jaanta hun
aur har shai ki baqa jaanta hun
- Book : Barzakh (Pg. 39)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Mawara Publishers, Bahawalpur Road Lahore (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.