aasman KHak-dan
raakh uḌātī huī
aur bin ḳhāk-dāñ koī jaltā nahīñ
is sitāre ke us paar bhī koī jaltā to hogā kisī āsmāñ ke tale
ḳhvāb ne rāstoñ par diye rakh diye
maiñ ne har shaam dekhā
ki tum aa.e the
aur mil kar ga.e
aur har shaam ik tār-e-kafash-o-kulah jal gayā
ek jaltā huā silsila jal gayā
haañ magar ik diyā sā uThā.e rakho
tār-e-kafash-o-kulah ke qarīñ
ik diyā sā jalā.e rakho
āsmāñ ḳhāk-dāñ
rakh uDati hui
aur bin KHak-dan koi jalta nahin
is sitare ke us par bhi koi jalta to hoga kisi aasman ke tale
KHwab ne raston par diye rakh diye
main ne har sham dekha
ki tum aae the
aur mil kar gae
aur har sham ek tar-e-kafash-o-kulah jal gaya
ek jalta hua silsila jal gaya
han magar ek diya sa uThae rakho
tar-e-kafash-o-kulah ke qarin
ek diya sa jalae rakho
aasman KHak-dan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.