aasman mein aag
peḌoñ ke patte
jaltī dopahroñ ko
aane jaane vāloñ ko
saaya dete haiñ
apne hone kā elaan nahīñ karte
saa.e kā elaan nahīñ karte
maiñ ghar se bichhḌā thā jab
to aksar
barsoñ
jaltī dhuup meñ
un kī shafqat ke saa.e meñ soyā thā
kuchh din se
duur duur tak āsmān meñ aag
duur duur tak pyāse jalte-bujhte log
bādal bārish
sabza patte paude peḌ
bhūle-bisre ḳhvāb
duur duur tak sho.aloñ ke tūfān kā mausam aayā
sab ke sir par
aane vaale mausam ke elaan kā ghaTtā-baḌhtā saaya
ye kaisā mausam aayā
peDon ke patte
jalti dopahron ko
aane jaane walon ko
saya dete hain
apne hone ka elan nahin karte
sae ka elan nahin karte
main ghar se bichhDa tha jab
to aksar
barson
jalti dhup mein
un ki shafqat ke sae mein soya tha
kuchh din se
dur dur tak aasman mein aag
dur dur tak pyase jalte-bujhte log
baadal barish
sabza patte paude peD
bhule-bisre KHwab
dur dur tak shoalon ke tufan ka mausam aaya
sab ke sir par
aane wale mausam ke elan ka ghaTta-baDhta saya
ye kaisa mausam aaya
- Book : Lambi Barish (Pg. 191)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.