aasman zard tha
ai kalī tujh ko hamārā bhī ḳhayāl aa hī gayā
ham to māyūs hue baiThe the sahrāoñ meñ
ab tirā ruup bhī dhundlā sā chalā thā dil meñ
tū bhī ik yaad sī thī jumla hasīnāoñ meñ
tah-ba-tah gard se ālūd thā din kā dāman
raat kā naam na aatā thā tamannāoñ meñ
raqs-e-shabnam kī parastār nigāhoñ ke liye
dhuup ke abr the ḳhurshīd kī bauchhāreñ thiiñ
āsmāñ zard thā jaise koī yarqāñ kā marīz
jis ke takiye ke liye ret kī dastāreñ thiiñ
dil bharā rahtā thā jalte hue chhāle kī tarah
ruuh ke vāste dīvāreñ hī dīvāreñ thiiñ
koī āvāz na aatī thī ba-juz saut-e-muhīb
koī naġhma na thā chīloñ ke tarannum ke sivā
saarā andāz thā phaile hue dariyāoñ kā
reg-e-sahrā ke samundar meñ talātum ke sivā
ḳhushk pattoñ kā namak ret ke zarroñ kī miThās
hoñT sab zā.iqe rakhte the tarannum ke sivā
kab tak is dil kī lagan raas na aatī āḳhir
muskurātā huā gardūñ pe hilāl aa hī gayā
apne dīvānoñ ko siine se lagāne ke liye
ik ġhazal-paikar o afsāna-jamāl aa hī gayā
ai falak tū ne hameñ ḳhaak se āḳhir ko chunā
ai kalī tujh ko hamārā bhī ḳhayāl aa hī gayā
ai kali tujh ko hamara bhi KHayal aa hi gaya
hum to mayus hue baiThe the sahraon mein
ab tera rup bhi dhundla sa chala tha dil mein
tu bhi ek yaad si thi jumla hasinaon mein
tah-ba-tah gard se aalud tha din ka daman
raat ka nam na aata tha tamannaon mein
raqs-e-shabnam ki parastar nigahon ke liye
dhup ke abr the KHurshid ki bauchhaaren thin
aasman zard tha jaise koi yarqan ka mariz
jis ke takiye ke liye ret ki dastaren thin
dil bhara rahta tha jalte hue chhaale ki tarah
ruh ke waste diwaren hi diwaren thin
koi aawaz na aati thi ba-juz saut-e-muhib
koi naghma na tha chilon ke tarannum ke siwa
sara andaz tha phaile hue dariyaon ka
reg-e-sahra ke samundar mein talatum ke siwa
KHushk patton ka namak ret ke zarron ki miThas
honT sab zaiqe rakhte the tarannum ke siwa
kab tak is dil ki lagan ras na aati aaKHir
muskuraata hua gardun pe hilal aa hi gaya
apne diwanon ko sine se lagane ke liye
ek ghazal-paikar o afsana-jamal aa hi gaya
ai falak tu ne hamein KHak se aaKHir ko chuna
ai kali tujh ko hamara bhi KHayal aa hi gaya
- Book : kulliyat-e-mustafa zaidii(mauj mrii sadaf sadaf) (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.