aasmani loriyan
roz-e-raushan jā chukā, haiñ shaam kī tayyāriyāñ
uḌ rahī haiñ āsmāñ par za.afrānī sāḌiyāñ
shaam ruḳhsat ho rahī hai raat kā muñh chuum kar
ho rahī haiñ charḳh par tāroñ meñ kuchh sargoshiyāñ
jalve haiñ betāb parde se nikalne ke liye
ban sañvar kar aa rahī haiñ āsmāñ kī rāniyāñ
nau urūs-e-shab ne pahnā hai libās-e-fāḳhira
āsmānī pairahan meñ kahkashānī dhāriyāñ
kārchobī shāmiyāne meñ rachī bazm-e-nashāt
saaz ne añgḌā.ī lī bajne lagī haiñ tāliyāñ
lā-javrdī farsh par hai mushtarī zohra kā raqs
nail-tan krishn ke pahlū meñ machaltī gopiyāñ
dast-o-pā kī narm va ḳhush-āhañg halkī juñbisheñ
yā fazā meñ nāchtī haiñ gungunātī bijliyāñ
sarmadī naġhmāt se saarī fazā ma.amūr hai
nutq-e-rab-e-zul-minan haiñ raat kī ḳhāmoshiyāñ
niiñd sī ā.ankhoñ meñ aatī hai jhukā jaatā hai sar
sun rahā thā der se maiñ āsmānī loriyāñ
roz-e-raushan ja chuka, hain sham ki tayyariyan
uD rahi hain aasman par zafrani saDiyan
sham ruKHsat ho rahi hai raat ka munh chum kar
ho rahi hain charKH par taron mein kuchh sargoshiyan
jalwe hain betab parde se nikalne ke liye
ban sanwar kar aa rahi hain aasman ki raniyan
nau urus-e-shab ne pahna hai libas-e-faKHira
aasmani pairahan mein kahkashani dhaariyan
karchobi shamiyane mein rachi bazm-e-nashat
saz ne angDai li bajne lagi hain taliyan
la-jawrdi farsh par hai mushtari zohra ka raqs
nail-tan krishn ke pahlu mein machalti gopiyan
dast-o-pa ki narm wa KHush-ahang halki junbishen
ya faza mein nachti hain gungunati bijliyan
sarmadi naghmat se sari faza mamur hai
nutq-e-rab-e-zul-minan hain raat ki KHamoshiyan
nind si aaankhon mein aati hai jhuka jata hai sar
sun raha tha der se main aasmani loriyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.