aaTa
hazrat aadam pe jo guzrī hai sab ko yaad hai
dāna-e-gandum kī zinda aaj tak be-dād hai
aaj phir aulād-e-ādam par vahī uftād hai
is kā baanī bhī farishtoñ kā vahī ustād hai
daur daura aaj is kā chor-bāzāroñ meñ hai
māherīn-e-chor-bāzārī ke ġham-ḳhvāroñ meñ hai
un meñ dekhā is kā jalva jo zaḳhīra-bāz haiñ
dafn tah-ḳhānoñ meñ jin ke boriyoñ ke raaz haiñ
boriyoñ se milte-julte toñd ke andāz haiñ
aur fariyād-o-bukā meñ sab ke ham-āvāz haiñ
toñd par hai haath aur fāqoñ se hālat zaar hai
in ko īñdhan is jahannam ke liye darkār hai
ho gayā bāzār se aaTe kā aisā intiqāl
ab khule bāzār meñ aaTe kā milnā hai muhāl
ik zaḳhīra-bāz maulānā-numā dūkān-dār
qaum ke is ibtilā se kal bahut the be-qarār
aah is millat kā kyuuñ gehūñ pe hai dār-o-madār
kaash khātī bājrā yā kaash ye khātī javār
is ke khāne ke liye nemat har ik maujūd hai
dāna-e-gandum bhalā kyuuñ gauhar-e-maqsūd hai
sach jo pūchho to kahūñ shaitān kā ration hai ye
jis ne jannat luuT lī insāñ kā vo dushman hai ye
haif hai insān kar de is par jannat tak nisār
sab ko gandum se bachānā ai mire parvardigār
saiñkaḌoñ man yuuñ to gehūñ mere tah-ḳhāne meñ hai
aur mazā bhī kyā mujhe āzār pahchāne meñ hai
mere hisse kī vahī mai hai jo paimāne meñ hai
haañ magar dozaḳh jo hai gehūñ ke parvāne meñ hai
jis ne gehūñ khā liyā dozaḳh meñ gole khā.egā
jis ko jannat chāhiye vo sirf chhole khā.egā
hazrat aadam pe jo guzri hai sab ko yaad hai
dana-e-gandum ki zinda aaj tak be-dad hai
aaj phir aulad-e-adam par wahi uftad hai
is ka bani bhi farishton ka wahi ustad hai
daur daura aaj is ka chor-bazaron mein hai
maherin-e-chor-bazari ke gham-KHwaron mein hai
un mein dekha is ka jalwa jo zaKHira-baz hain
dafn tah-KHanon mein jin ke boriyon ke raaz hain
boriyon se milte-julte tond ke andaz hain
aur fariyaad-o-buka mein sab ke ham-awaz hain
tond par hai hath aur faqon se haalat zar hai
in ko indhan is jahannam ke liye darkar hai
ho gaya bazar se aaTe ka aisa intiqal
ab khule bazar mein aaTe ka milna hai muhaal
ek zaKHira-baz maulana-numa dukan-dar
qaum ke is ibtila se kal bahut the be-qarar
aah is millat ka kyun gehun pe hai dar-o-madar
kash khati bajra ya kash ye khati jawar
is ke khane ke liye nemat har ek maujud hai
dana-e-gandum bhala kyun gauhar-e-maqsud hai
sach jo puchho to kahun shaitan ka ration hai ye
jis ne jannat luT li insan ka wo dushman hai ye
haif hai insan kar de is par jannat tak nisar
sab ko gandum se bachana ai mere parwardigar
sainkaDon man yun to gehun mere tah-KHane mein hai
aur maza bhi kya mujhe aazar pahchane mein hai
mere hisse ki wahi mai hai jo paimane mein hai
han magar dozaKH jo hai gehun ke parwane mein hai
jis ne gehun kha liya dozaKH mein gole khaega
jis ko jannat chahiye wo sirf chhole khaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.