aaTHwan darwaza
bas ek raah pahuñchtī thī shāhzādī tak
vo raah jis meñ hazāroñ the pahre-dār khaḌe
phir us ke ba.ad havelī ke saat darvāze
magar kamāl the shahzādgān-e-vaqt bhī jo
safed ghoḌoñ pe ho kar savār nikle aur
haveliyoñ se churā laa.e apnī shahzādī
ye ek maiñ ki tumhārī galī meñ jab bhī baḌhā
mirī anā kā purānā sā ek darvāza
mire qadam ko galī hī meñ rok letā hai
bas ek rah pahunchti thi shahzadi tak
wo rah jis mein hazaron the pahre-dar khaDe
phir us ke baad haweli ke sat darwaze
magar kamal the shahzadgan-e-waqt bhi jo
safed ghoDon pe ho kar sawar nikle aur
haweliyon se chura lae apni shahzadi
ye ek main ki tumhaari gali mein jab bhi baDha
meri ana ka purana sa ek darwaza
mere qadam ko gali hi mein rok leta hai
- Book : Aathwa.n Darwaza (Pg. 62)
- Author : Mozaffar Abdali
- Publication : arshia publication A-170 ground Floor-3 surya apartment dilshan colony delhi-110095 (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.