aatish-dan ke andar
maiñ zinda huuñ
ki ik ātish-dāñ ke andar
jahāñ par
vaqt jaisī saḳht-jāñ shai bhī
pighal jaa.e
ki jis ke sāmne
ye āsmāñ
ek baiza-e-mor
aur zamīñ
ik nuqta-e-mauhūm hai
dekho
ki mujh meñ
vaqt jaisī saḳht-jāñ shai
aur zamīn-o-āsmāñ hal haiñ
maiñ zinda huuñ
ki ātish-dāñ hai mujh meñ
main zinda hun
ki ek aatish-dan ke andar
jahan par
waqt jaisi saKHt-jaan shai bhi
pighal jae
ki jis ke samne
ye aasman
ek baiza-e-mor
aur zamin
ek nuqta-e-mauhum hai
dekho
ki mujh mein
waqt jaisi saKHt-jaan shai
aur zamin-o-asman hal hain
main zinda hun
ki aatish-dan hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.