aatish-e-KHufta
ḳhizāñ-rasīda haiñ gar bahāreñ
inhī ḳhizāoñ kā jashn hogā
zamāne vo bhī to yaad hoñge
jo roz jashn-e-bahār hotā
na jaao pattoñ pe Tahniyoñ par
jo suukh kar charmarā ga.ī haiñ
abhī bhī in meñ hai aag pinhāñ
abhī haiñ sho.ale bhī ḳhvāb-āgīñ
ḳharosh chingāriyoñ kā ḳhufta
na chheḌo in ko
abhī na chheḌo
KHizan-rasida hain gar bahaaren
inhi KHizaon ka jashn hoga
zamane wo bhi to yaad honge
jo roz jashn-e-bahaar hota
na jao patton pe Tahniyon par
jo sukh kar charmara gai hain
abhi bhi in mein hai aag pinhan
abhi hain shoale bhi KHwab-agin
KHarosh chingariyon ka KHufta
na chheDo in ko
abhi na chheDo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.