aatma tarang
is des kī chāhat faanī hai
yaañ husn-o-vajāhat faanī hai
yaañ jang-o-raqābat faanī hai
yaañ amn-o-iqāmat faanī hai
jis des meñ aanī raaj nahīñ
us des meñ chal sansār kareñ
yaañ jins-e-taġhayyur sastī hai
yaañ ḳhauf-e-buland-o-pastī hai
fitrat bhī rahīn-e-hastī hai
ye vahm-o-gumāñ kī bastī hai
jis des meñ aanī raaj nahīñ
us des meñ chal sansār kareñ
phūloñ kī latāfat jhūTī hai
shabnam kī tarāvat jhūTī hai
ye prem ye chāhat jhūTī hai
ye ruup ye rangat jhūTī hai
jis des meñ aanī raaj nahīñ
us des meñ chal sansār kareñ
sukh-des ko chal haañ der na kar
chal chhor chaleñ ye phūT-nagar
rakh tez qadam bajtā hai gajar
hai kitnā mubārak apnā safar
jis des meñ aanī raaj nahīñ
us des meñ chal sansār kareñ
vaañ gardish-e-sub.h-o-shām nahīñ
vaañ huzn nahīñ ālām nahīñ
āġhāz nahīñ anjām nahīñ
insān jahāñ nākām nahīñ
ānand bhī ho ārām bhī ho
us des meñ chal sansār kareñ
is des ki chahat fani hai
yan husn-o-wajahat fani hai
yan jang-o-raqabat fani hai
yan amn-o-iqamat fani hai
jis des mein aani raj nahin
us des mein chal sansar karen
yan jins-e-taghayyur sasti hai
yan KHauf-e-buland-o-pasti hai
fitrat bhi rahin-e-hasti hai
ye wahm-o-guman ki basti hai
jis des mein aani raj nahin
us des mein chal sansar karen
phulon ki latafat jhuTi hai
shabnam ki tarawat jhuTi hai
ye prem ye chahat jhuTi hai
ye rup ye rangat jhuTi hai
jis des mein aani raj nahin
us des mein chal sansar karen
sukh-des ko chal han der na kar
chal chhor chalen ye phuT-nagar
rakh tez qadam bajta hai gajar
hai kitna mubarak apna safar
jis des mein aani raj nahin
us des mein chal sansar karen
wan gardish-e-subh-o-sham nahin
wan huzn nahin aalam nahin
aaghaz nahin anjam nahin
insan jahan nakaam nahin
aanand bhi ho aaram bhi ho
us des mein chal sansar karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.