aawagawan
īsā-e-ashk ne chamkā.ī hai palkoñ kī salīb
pyaar ne dard kī injīl ko dohrāyā hai
phir kisī yaad kā jaltā huā pāgal jhoñkā
mere sūkhe hue hoñToñ ke qarīb aayā hai
aaj phir aañkh kī badnām guzar-gāhoñ par
ruk gayā hai koī chalte hue jalvoñ kā sarāb
aañkh ab ḳhvāb kī jumbish bhī nahīñ sah saktī
ab koī vajh-e-takalluf na koī rasm-e-hijāb
dil ki ik kāñch kī chūḌī se bhī nāzuk Thahrā
kis tarah itnī baḌī choT ko sah saktā hai
jo kabhī arsh-e-mohabbat se na nīche utrā
kis tarah maut ke tah-ḳhāne meñ rah saktā hai
ye añdherā ye pighaltā huā shab rang-e-sukūt
mere ehsās kī har mauj meñ Dhal jaane de
āḳhirī saañs kī talvār bhī chal jaane de
mujh ko is hirs kī bastī se nikal jaane de
vahī sangam vahī taqdīr kā pahlā sangam
tum jahāñ mujh se mile the maiñ vahīñ jā.ūñgā
ye judā.ī to faqat saañs kā ik vaqfa hai
mere mahbūb na ghabrāo maiñ phir ā.ūñgā
isa-e-ashk ne chamkai hai palkon ki salib
pyar ne dard ki injil ko dohraya hai
phir kisi yaad ka jalta hua pagal jhonka
mere sukhe hue honTon ke qarib aaya hai
aaj phir aankh ki badnam guzar-gahon par
ruk gaya hai koi chalte hue jalwon ka sarab
aankh ab KHwab ki jumbish bhi nahin sah sakti
ab koi wajh-e-takalluf na koi rasm-e-hijab
dil ki ek kanch ki chuDi se bhi nazuk Thahra
kis tarah itni baDi choT ko sah sakta hai
jo kabhi arsh-e-mohabbat se na niche utra
kis tarah maut ke tah-KHane mein rah sakta hai
ye andhera ye pighalta hua shab rang-e-sukut
mere ehsas ki har mauj mein Dhal jaane de
aaKHiri sans ki talwar bhi chal jaane de
mujh ko is hirs ki basti se nikal jaane de
wahi sangam wahi taqdir ka pahla sangam
tum jahan mujh se mile the main wahin jaunga
ye judai to faqat sans ka ek waqfa hai
mere mahbub na ghabrao main phir aaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.