aawaz
us kī aamad ke tasavvur se sambhaltī āvāz
us kī qurbat kī tamāzat se pighaltī āvāz
sub.h-dam shoḳh parindoñ ke chahakne kī sadā
band kaliyoñ ke na.e ruup kī khultī āvāz
bahr-e-zaḳhḳhār kī aadat hai ye Thahrā huā shor
tez dariyāoñ ke paanī kī machaltī āvāz
kohsāroñ ke chaTaḳhne se garajne kī sadā
aur chashmoñ kī ravānī se uchhaltī āvāz
gardish-e-ḳhūñ meñ ravāñ dil ke dhaḌakne kī sadā
ashk-e-ḳhūñ-nāb ke andar se ubaltī āvāz
kār-ḳhānoñ kī mashīnoñ kī miloñ kī āvāz
gāḌiyoñ tāñgoñ basoñ cyclioñ kī āvāz
bahr-o-bar kuchh bhī na hote ye jahāñ kyā hotā!
gar ye āvāz na hotī to yahāñ kyā hotā
us ki aamad ke tasawwur se sambhalti aawaz
us ki qurbat ki tamazat se pighalti aawaz
subh-dam shoKH parindon ke chahakne ki sada
band kaliyon ke nae rup ki khulti aawaz
bahr-e-zaKHKHar ki aadat hai ye Thahra hua shor
tez dariyaon ke pani ki machalti aawaz
kohsaron ke chaTaKHne se garajne ki sada
aur chashmon ki rawani se uchhalti aawaz
gardish-e-KHun mein rawan dil ke dhaDakne ki sada
ashk-e-KHun-nab ke andar se ubalti aawaz
kar-KHanon ki mashinon ki milon ki aawaz
gaDiyon tangon bason cyclion ki aawaz
bahr-o-bar kuchh bhi na hote ye jahan kya hota!
gar ye aawaz na hoti to yahan kya hota
- Book : ishq ki taqweem men (Pg. 132)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.