aawaz ka aaTHwan rang
ilhām kī sarsabz raushnī
vajūd ko
ghere meñ liye
muztarib hai
hastī kī ḳhalfashāroñ pe
saat rang nāchte hue be-ḳhabar haiñ
sard havā kā niilā jhoñkā
maiñ ne bāñhoñ meñ bhar kar terī jānib uchhāl diyā
shaam tere hijāboñ meñ
Dhal rahī thī
aur
terī āvāz kī sūrat
āTHvāñ rang
mujh se ham-kalām thā
ilham ki sarsabz raushni
wajud ko
ghere mein liye
muztarib hai
hasti ki KHalfashaaron pe
sat rang nachte hue be-KHabar hain
sard hawa ka nila jhonka
main ne banhon mein bhar kar teri jaanib uchhaal diya
sham tere hijabon mein
Dhal rahi thi
aur
teri aawaz ki surat
aaTHwan rang
mujh se ham-kalam tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.