aawaz ka wahm
kaun thā
kis ne pukārā thā mujhe
koī nahīñ
koī nahīñ bas vahm thā
vahm kī āvāz ne chauñkā diyā
is zamīñ par
kyā koī aisā nahīñ jo mujhe āvāz de
ik ḳhalā hai aur
ḳhalā ke us taraf
tīrgī hī tīrgī
tīrgī kī aañkh meñ
tishnagī hī tishnagī
haañ magar is tīrgī
is tishnagī
is ḳhalā ke us taraf
koī to hai
kaun tha
kis ne pukara tha mujhe
koi nahin
koi nahin bas wahm tha
wahm ki aawaz ne chaunka diya
is zamin par
kya koi aisa nahin jo mujhe aawaz de
ek KHala hai aur
KHala ke us taraf
tirgi hi tirgi
tirgi ki aankh mein
tishnagi hi tishnagi
han magar is tirgi
is tishnagi
is KHala ke us taraf
koi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.