aawaz ke moti
Interesting Fact
on playback singer Mohammad Rafi's death
sher ke jādūgar sañgīt ke sāhir
misroñ aur dhunoñ ke ḳhālī sīpoñ ke kashkol uThā.e
afsurda maġhmūm khaḌe haiñ
suunī āñkhoñ meñ TuuTī ummīd liye
āvāz ke un nauras qatroñ kī
jo ḳhālī sīpoñ meñ amrit ban kar Tapkeñ
aur iz.hār guhar ban jaa.e
lafz kī bandish taal kī sañgat raqs ke tevar
be-harkat be-jān dhare haiñ
un hoñToñ kī hasrat meñ
jin kī pechīda tarsīl ḳhamīda jumbish
saut o bayāñ ko ma.anī kī sau jihteñ baḳhshā kartī thī
yaad meñ us pur-nūr dahan kī
jis se ubaltī tah-dar-tah āvāz ke raushan jaadū se
shabd suroñ meñ ghul jaate the
nok-e-qalam se barbat ke tāroñ tak jalte daaġh
āb-e-sadā se dhul jaate the
(us ke dilkash giit havāoñ ke hoñToñ par sadiyoñ tak mahfūz raheñge)
shor bharī duniyā kī dukhī tanhā.ī meñ
umr kī jis manzil pe jis jīvan kī Dagar par
jazboñ kī jis rāhguzar par
dil kā musāfir pal-do-pal ko Thahregā
us kī sadā ke hamdam haath
bujhī huī bezār samā.at ke shāne thapkeñge
man kā dukh bāñTeñge
rañj ḳhushī mausam tyauhār
vasl judā.ī dard qarār
ummīdoñ kī mastī TuuTe ḳhvāboñ kī uljhan
zulm baġhāvat gaañv vatan
ahd-e-kuhan ke ramz na.e yug kī tafsīreñ
ishq ibādat ā.īna-ḳhāne tanvīreñ
har ghar har mahfil us kī āvāz ke motī
bām-e-havā se barseñge
aah magar
alfāz kī bandish taal kī sañgat raqs ke tevar
us ke dhun ke na.e ujāloñ na.e ufuq ko
rahtī duniyā tak tarseñge
sher ke jadugar sangit ke sahir
misron aur dhunon ke KHali sipon ke kashkol uThae
afsurda maghmum khaDe hain
suni aankhon mein TuTi ummid liye
aawaz ke un nauras qatron ki
jo KHali sipon mein amrit ban kar Tapken
aur izhaar guhar ban jae
lafz ki bandish tal ki sangat raqs ke tewar
be-harkat be-jaan dhare hain
un honTon ki hasrat mein
jin ki pechida tarsil KHamida jumbish
saut o bayan ko mani ki sau jihten baKHsha karti thi
yaad mein us pur-nur dahan ki
jis se ubalti tah-dar-tah aawaz ke raushan jadu se
shabd suron mein ghul jate the
nok-e-qalam se barbat ke taron tak jalte dagh
aab-e-sada se dhul jate the
(us ke dilkash git hawaon ke honTon par sadiyon tak mahfuz rahenge)
shor bhari duniya ki dukhi tanhai mein
umr ki jis manzil pe jis jiwan ki Dagar par
jazbon ki jis rahguzar par
dil ka musafir pal-do-pal ko Thahrega
us ki sada ke hamdam hath
bujhi hui bezar samaat ke shane thapkenge
man ka dukh banTenge
ranj KHushi mausam tyauhaar
wasl judai dard qarar
ummidon ki masti TuTe KHwabon ki uljhan
zulm baghawat ganw watan
ahd-e-kuhan ke ramz nae yug ki tafsiren
ishq ibaadat aaina-KHane tanwiren
har ghar har mahfil us ki aawaz ke moti
baam-e-hawa se barsenge
aah magar
alfaz ki bandish tal ki sangat raqs ke tewar
us ke dhun ke nae ujalon nae ufuq ko
rahti duniya tak tarsenge
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 172)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.