aawaz ke sae
ajab pāgal sī laḌkī thī
ajab sī ḳhvāhisheñ us kī
vo haft-aflāk kī dhun meñ havā ke dosh par raqsāñ
lagan meñ faash karne kī
zamīn-o-āsmāñ ke rāz-e-sar-basta
zamīñ ke saath zid bāñdhe
ki
gird-e-mehr-e-ālam-tāb kyoñ ye raqs-e-paiham
mujhe is kulliye ko toḌ kar
zamīn-o-āsmāñ se aage jaanā hai
vahī pāgal sī laḌkī
achānak aan Takrā.ī thī mujh se
alif lailā ke safhoñ se nikal kar
kisī rūmānvī afsāne ke kirdār kī sūrat
kabhī likh bhejtī thī lafz kuchh aise ki maiñ hairān hotā thā
kabhī kahtī ki
maiñ jibrīl huuñ us kī hirā kā
kabhī likh bhejtī ai kūza-gar mere
tumhāre raqs karte chaak kā me.arāj huuñ maiñ
tumhāre fan kī huuñ takmīl maiñ
kabhī hañste hue ik naam detī thī
mujhe ham-zād kahtī thī
ajiib pāgal sī laḌkī thī
ajab sī ḳhvāhishoñ ko lafz detī thī
ajab farmā.isheñ kartī
kabhī kahtī suno ham-zād merī baat
bahut hī munfarid ho tum
nahīñ lagte tum is kurre ke bāshinde
ki is duniyā meñ koī ajnabī ho tum
tumheñ kun kahne vaale ne faqat mere liye bhejā
ajab pāgal sī laḌkī thī
vo mere iltifāt-e-chashm par nāzāñ
kabhī kahtī tumhārā mujh se yuuñ milnā
mirī ḳhush-baḳhtī kā zāmin
achānak
guftugū ke darmiyāñ u-turn letī thī
mujhe hairān hone kī bhī vo mohlat na detī thī
vo kah uThtī
suno ik baat kahnī hai
ijāzat ho tumhārī gar
to bas ik tiin lafzī kalima kahnā hai mujhe tum se
suno alfāz kī duniyā se kaisī chashm-poshī ye
maiñ ḳhud meñ muskurātā aur phir mauzūa badal detā
laboñ se us ke ik jharne kī qulqul jaarī hotī thī
maiñ us jumle se jitnā hī gurezāñ
vo utnī hī kamar-basta
vo har din muskurātī āñkheñ apnī
tasavvur kī nigāhoñ se
mirī āñkhoñ meñ Daale
sharārat se bhare jumle yuuñ merī nazr kartī thī
ijāzat hai mire hamdam
kaho ab kah bhī duuñ
ye karb-e-jān-levā kab talak
rihā.ī kab milegī is ummīd-o-nā-umīdī se
maiñ kah uThtā agar isbāt meñ radd-e-amal zāhir kiyā maiñ ne
to phir tum chār-harfī lafz kī pāgal sī ḳhvāhish paal baiThogī
ajab pāgal sī laḌkī thī
magar
jab aaj is lamhe
ijāzat māñgte alfāz us ke
ridā-e-ḳhāmushī ko oḌh kar chup-chāp baiThe haiñ
to dil merā
ajab sargoshiyāñ karne ko pāgal
suno ham-zād merī
vahī sah-lafzī jumla
maiñ tum se aaj kahtā huuñ
magar āvāz ke an-dekhe saa.e
kisī ifrīt kī sūrat
mujhe hī jakḌe rahte haiñ
ye pachhtāve kā barzaḳh aur maiñ huuñ
ki ab
anāsir muntashir aur gum-shuda nabzeñ
fazā meñ bāzgasht ik aarzū kī gūñjtī har pal
ajab pagal si laDki thi
ajab si KHwahishen us ki
wo haft-aflak ki dhun mein hawa ke dosh par raqsan
lagan mein fash karne ki
zamin-o-asman ke raaz-e-sar-basta
zamin ke sath zid bandhe
ki
gird-e-mehr-e-alam-tab kyon ye raqs-e-paiham
mujhe is kulliye ko toD kar
zamin-o-asman se aage jaana hai
wahi pagal si laDki
achanak aan Takrai thi mujh se
alif laila ke safhon se nikal kar
kisi rumanwi afsane ke kirdar ki surat
kabhi likh bhejti thi lafz kuchh aise ki main hairan hota tha
kabhi kahti ki
main jibril hun us ki hira ka
kabhi likh bhejti ai kuza-gar mere
tumhaare raqs karte chaak ka mearaj hun main
tumhaare fan ki hun takmil main
kabhi hanste hue ek nam deti thi
mujhe ham-zad kahti thi
ajib pagal si laDki thi
ajab si KHwahishon ko lafz deti thi
ajab farmaishen karti
kabhi kahti suno ham-zad meri baat
bahut hi munfarid ho tum
nahin lagte tum is kurre ke bashinde
ki is duniya mein koi ajnabi ho tum
tumhein kun kahne wale ne faqat mere liye bheja
ajab pagal si laDki thi
wo mere iltifat-e-chashm par nazan
kabhi kahti tumhaara mujh se yun milna
meri KHush-baKHti ka zamin
achanak
guftugu ke darmiyan u-turn leti thi
mujhe hairan hone ki bhi wo mohlat na deti thi
wo kah uThti
suno ek baat kahni hai
ijazat ho tumhaari gar
to bas ek tin lafzi kalima kahna hai mujhe tum se
suno alfaz ki duniya se kaisi chashm-poshi ye
main KHud mein muskuraata aur phir mauzua badal deta
labon se us ke ek jharne ki qulqul jari hoti thi
main us jumle se jitna hi gurezan
wo utni hi kamar-basta
wo har din muskuraati aankhen apni
tasawwur ki nigahon se
meri aankhon mein Dale
shararat se bhare jumle yun meri nazr karti thi
ijazat hai mere hamdam
kaho ab kah bhi dun
ye karb-e-jaan-lewa kab talak
rihai kab milegi is ummid-o-na-umidi se
main kah uThta agar isbaat mein radd-e-amal zahir kiya main ne
to phir tum chaar-harfi lafz ki pagal si KHwahish pal baiThogi
ajab pagal si laDki thi
magar
jab aaj is lamhe
ijazat mangte alfaz us ke
rida-e-KHamushi ko oDh kar chup-chap baiThe hain
to dil mera
ajab sargoshiyan karne ko pagal
suno ham-zad meri
wahi sah-lafzi jumla
main tum se aaj kahta hun
magar aawaz ke an-dekhe sae
kisi ifrit ki surat
mujhe hi jakDe rahte hain
ye pachhtawe ka barzaKH aur main hun
ki ab
anasir muntashir aur gum-shuda nabzen
faza mein bazgasht ek aarzu ki gunjti har pal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.