aawaz ke sae
ḳhabar nahīñ tum kahāñ ho yaaro
hamārī uftād-e-roz-o-shab kī
tumheñ ḳhabar mil sakī, ki tum bhī
rahīn-e-dast-e-ḳhizāñ ho yaaro
dinoñ meñ tafrīq miT chukī hai
ki vaqt se ḳhush-gumāñ ho yaaro
abhī laḌakpan ke hausle haiñ
ki be-sar-o-sā.ebāñ ho yaaro
hamārī uftād-e-roz-o-shab meñ
na jaane kitnī hī baar ab tak
dhanak banī aur bikhar chukī hai
urūs-e-shab apnī ḳhalvatoñ se
sahar ko mahrūm kar chukī hai
dahakte sahrā meñ dhuup khā kar
shafaq kī rañgat utar chukī hai
bahār kā ta.aziya uThā.e
nigār-e-yak-shab guzar chukī hai
umīd-e-nau-roz hai ki tum bhī
bahār ke nauha-ḳhvāñ ho yaaro
tumhārī yādoñ ke qāfile kā
thakā huā ajnabī musāfir
har ik ko āvāz de rahā hai
ḳhafā ho yā be-zabāñ ho yaaro
KHabar nahin tum kahan ho yaro
hamari uftad-e-roz-o-shab ki
tumhein KHabar mil saki, ki tum bhi
rahin-e-dast-e-KHizan ho yaro
dinon mein tafriq miT chuki hai
ki waqt se KHush-guman ho yaro
abhi laDakpan ke hausle hain
ki be-sar-o-saeban ho yaro
hamari uftad-e-roz-o-shab mein
na jaane kitni hi bar ab tak
dhanak bani aur bikhar chuki hai
urus-e-shab apni KHalwaton se
sahar ko mahrum kar chuki hai
dahakte sahra mein dhup kha kar
shafaq ki rangat utar chuki hai
bahaar ka taziya uThae
nigar-e-yak-shab guzar chuki hai
umid-e-nau-roz hai ki tum bhi
bahaar ke nauha-KHwan ho yaro
tumhaari yaadon ke qafile ka
thaka hua ajnabi musafir
har ek ko aawaz de raha hai
KHafa ho ya be-zaban ho yaro
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Qaba-e-Saaz) (Pg. 96)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.