aawaz
to phir us raat kī pur-haul siyāhī meñ abhī
barq sī kauñdtī
taskīn ko shaq kartī huī
mere ehsās
mirī ruuh ko barmātī huī
jaanī pahchānī sī āvāz kahāñ se aa.ī
kis ne ye ḳhvāb-shikan bāñg-ba-shakl-e-muzhda
is tarah kī hai buland is shab-e-tanhā.ī meñ
jaise is raat kī satvat hai tanazzul-pairā
aur ḳhvāboñ kī sahar
taḳht-e-ufuq par jaise
abhī aa.ī ki bas aa.ī
ruḳh-e-zebā le kar
to phir us raat ki pur-haul siyahi mein abhi
barq si kaundti
taskin ko shaq karti hui
mere ehsas
meri ruh ko barmati hui
jaani pahchani si aawaz kahan se aai
kis ne ye KHwab-shikan bang-ba-shakl-e-muzhda
is tarah ki hai buland is shab-e-tanhai mein
jaise is raat ki satwat hai tanazzul-paira
aur KHwabon ki sahar
taKHt-e-ufuq par jaise
abhi aai ki bas aai
ruKH-e-zeba le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.