aawezish
aaj phir us se mulāqāt huī
baaġh ke maġhribī goshe meñ jhuke niim ke chhitnār tale
ek bad-rañg sī chādar pe vo baiThā thā mujhe dekh ke sarshār huā
bhaa.ī kaise ho! nazar tum kabhī aate hī nahīñ
aao kuchh der mire paas to baiTho dekho
kaisā chup-chāp hai ye baaġh kā gosha jaise
kisī mavvāj samundar meñ jazīra koī
duur vo surma.ī bādal kī farozāñ jhālar
jaise haañ jaise magar ḳhair koī baat nahīñ
aao tum paas to baiTho mere
aur maiñ chupke se chādar pe vahīñ baiTh gayā
us ke hoñToñ se utarte hue alfāz kī chahkār meñ tā-der maiñ ḳhāmosh rahā
kaisī chahkār thī vo ḳhushk peḌoñ meñ havā kā nauha
jaise girte hue pattoñ kī lagātār sadā
daf.atan soch ke ik ajnabī jhoñke ne mujhe chheḌ diyā
jaane kab se ye musāfir hai jazīre meñ muqayyad tanhā
muntazir aa.egī ik roz kahīñ se naav
bādbāñ abr kā chāñdī ke chamakte chappū
rasmasātī huī ik narm rasīlī āvāz
tū kahāñ hai tū kahāñ hai ki tujhe
DhūñDte DhūñDte maiñ haar ga.ī haar ga.ī
aur bad-rañg sī chādar pe vo baiThā huā shaḳhs
ḳhvāb meñ boltā jaatā thā siyah baasī lafz
us ke sūkhe hue hoñToñ se nikal kar har sū
jhūTe sikkoñ kā banāte chale jaate the hisār
aaj phir us se mulāqāt huī
vahīñ us baaġh ke goshe meñ jhuke niim ke chhitnār tale
aaj phir us se mulāqāt huī
aaj phir us se mulaqat hui
bagh ke maghribi goshe mein jhuke nim ke chhitnar tale
ek bad-rang si chadar pe wo baiTha tha mujhe dekh ke sarshaar hua
bhai kaise ho! nazar tum kabhi aate hi nahin
aao kuchh der mere pas to baiTho dekho
kaisa chup-chap hai ye bagh ka gosha jaise
kisi mawwaj samundar mein jazira koi
dur wo surmai baadal ki farozan jhaalar
jaise han jaise magar KHair koi baat nahin
aao tum pas to baiTho mere
aur main chupke se chadar pe wahin baiTh gaya
us ke honTon se utarte hue alfaz ki chahkar mein ta-der main KHamosh raha
kaisi chahkar thi wo KHushk peDon mein hawa ka nauha
jaise girte hue patton ki lagatar sada
dafatan soch ke ek ajnabi jhonke ne mujhe chheD diya
jaane kab se ye musafir hai jazire mein muqayyad tanha
muntazir aaegi ek roz kahin se naw
baadban abr ka chandi ke chamakte chappu
rasmasati hui ek narm rasili aawaz
tu kahan hai tu kahan hai ki tujhe
DhunDte DhunDte main haar gai haar gai
aur bad-rang si chadar pe wo baiTha hua shaKHs
KHwab mein bolta jata tha siyah basi lafz
us ke sukhe hue honTon se nikal kar har su
jhuTe sikkon ka banate chale jate the hisar
aaj phir us se mulaqat hui
wahin us bagh ke goshe mein jhuke nim ke chhitnar tale
aaj phir us se mulaqat hui
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 69)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.