KHwab
kitne ḳhūbsūrat hote haiñ nā
aur thoḌe sar-phire bhī
ye chalnā nahīñ chāhte
bas uḌnā chāhte haiñ
bharnā chāhte haiñ
ek aisī uḌaan
jahāñ zamīn kī haqīqat ho
aur āsmāñ ke paar kī kalpanā bhī
jahāñ vaqt sā Thaharnā ho
aur ḳhushbū sā bikharnā bhī
ye sajnā chāhte haiñ
sañvarnā chāhte haiñ
ḳhud meñ bharte haiñ rañg
le kar titliyoñ se udhār
chamak uThte haiñ
ḳhud ko chāñdnī se sañvār
Tāñkte haiñ kuchh ujle sitāre bhī
phir tākte haiñ ā.eñge din hamāre bhī
dekhte haiñ har nazar meñ hazāroñ savāl
kahte haiñ ḳhud se na Dar tū sambhāl
din meñ sajte haiñ shauq se
ḳhvāhish ke bāzāroñ meñ
rātoñ meñ bahte haiñ ḳhauf se
ashkoñ ke dhāroñ meñ
bahut ḳhush-nasīb hotī hai vo āñkheñ
jin meñ ḳhvāb rahte haiñ
haiñ mukammal vo ashk bhī
jin meñ ḳhvāb bahte haiñ
kitne KHubsurat hote hain na
aur thoDe sar-phire bhi
ye chalna nahin chahte
bas uDna chahte hain
bharna chahte hain
ek aisi uDan
jahan zamin ki haqiqat ho
aur aasman ke par ki kalpana bhi
jahan waqt sa Thaharna ho
aur KHushbu sa bikharna bhi
ye sajna chahte hain
sanwarna chahte hain
KHud mein bharte hain rang
le kar titliyon se udhaar
chamak uThte hain
KHud ko chandni se sanwar
Tankte hain kuchh ujle sitare bhi
phir takte hain aaenge din hamare bhi
dekhte hain har nazar mein hazaron sawal
kahte hain KHud se na Dar tu sambhaal
din mein sajte hain shauq se
KHwahish ke bazaron mein
raaton mein bahte hain KHauf se
ashkon ke dhaaron mein
bahut KHush-nasib hoti hai wo aankhen
jin mein KHwab rahte hain
hain mukammal wo ashk bhi
jin mein KHwab bahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.