aaya hai naya sal
iThlātā huā jhuum ke aaya hai nayā saal
lahrātā huā jhuum ke aaya hai nayā saal
aaya hai nayā saal
ai sa.ī-e-musalsal tire e.ajāz ke sadqe
hāsil ko ga.e saal kī me.arāj mubārak
kirnoñ se añdhere kī qabā kholne vaale
āġhāz ko is saal kā ye aaj mubārak
paiġhām ka.ī tarah ke laayā hai nayā saal
in.aam ka.ī tarah ke laayā hai nayā saal
aaya hai nayā saal
be-laus mohabbat ke uḳhuvvat ke karam se
har samt jidhar dekheñ masarrat kī fazā hai
afsāna-e-jamhūr kī rangīn haqīqat
tahzīb-o-tamaddun kī muravvat kī fazā hai
har dil ke rag-o-resha pe chhāyā hai nayā saal
har zehn ke ā.īne pe chhāyā hai nayā saal
aaya hai nayā saal
paikar the rifāqat ke vatan-dost sarāsar
maidān-e-taraqqī meñ hamesha jo baham the
chalte rahe har haal salābat kī Dagar par
vābasta-e-manzil vo hamāre hī qadam the
jhelā hai jo ik saal to paayā hai nayā saal
khoyā hai jo ik saal to paayā hai nayā saal
aaya hai nayā saal
nairangī-e-afkār-o-aqā.ed se labālab
har chand rañgā-rang hai paimāna-e-jamhūr
ik rūh-e-vatan husn-e-saqāfat ke karam se
yak-rang hī yak-rang hai mai-ḳhāna-e-jamhūr
kirdār-e-musāvāt kā jaayā hai nayā saal
ik-tarfa karāmāt kā jaayā hai nayā saal
aaya hai nayā saal
lāzim hai ki a.amāl ko ik aisī adā deñ
jamhūr ke kirdār ko kuchh aur uThā deñ
nafrat ko ta.assub ko tah-e-ḳhāk sulā deñ
tafrīq kā taḳhrīb kā har naqsh miTā deñ
har tesha-e-ta.amīr ko mehnat kī jilā deñ
tadbīr se jamhūr kī taqdīr banā deñ
ham kyā haiñ sar-e-dast zamāne ko batā deñ
har ḳhvāb ko ta.abīr kī sarhad se milā deñ
kis aan se kis baan se aaya hai nayā saal
haañ dekhiye kis shaan se aaya hai nayā saal
aaya hai nayā saal
aaya hai nayā saal
iThlata hua jhum ke aaya hai naya sal
lahraata hua jhum ke aaya hai naya sal
aaya hai naya sal
ai sai-e-musalsal tere eajaz ke sadqe
hasil ko gae sal ki mearaj mubarak
kirnon se andhere ki qaba kholne wale
aaghaz ko is sal ka ye aaj mubarak
paigham kai tarah ke laya hai naya sal
inam kai tarah ke laya hai naya sal
aaya hai naya sal
be-laus mohabbat ke uKHuwwat ke karam se
har samt jidhar dekhen masarrat ki faza hai
afsana-e-jamhur ki rangin haqiqat
tahzib-o-tamaddun ki murawwat ki faza hai
har dil ke rag-o-resha pe chhaya hai naya sal
har zehn ke aaine pe chhaya hai naya sal
aaya hai naya sal
paikar the rifaqat ke watan-dost sarasar
maidan-e-taraqqi mein hamesha jo baham the
chalte rahe har haal salabat ki Dagar par
wabasta-e-manzil wo hamare hi qadam the
jhela hai jo ek sal to paya hai naya sal
khoya hai jo ek sal to paya hai naya sal
aaya hai naya sal
nairangi-e-afkar-o-aqaed se labaalab
har chand ranga-rang hai paimana-e-jamhur
ek ruh-e-watan husn-e-saqafat ke karam se
yak-rang hi yak-rang hai mai-KHana-e-jamhur
kirdar-e-musawat ka jaya hai naya sal
ik-tarfa karamat ka jaya hai naya sal
aaya hai naya sal
lazim hai ki aamal ko ek aisi ada den
jamhur ke kirdar ko kuchh aur uTha den
nafrat ko tassub ko tah-e-KHak sula den
tafriq ka taKHrib ka har naqsh miTa den
har tesha-e-tamir ko mehnat ki jila den
tadbir se jamhur ki taqdir bana den
hum kya hain sar-e-dast zamane ko bata den
har KHwab ko tabir ki sarhad se mila den
kis aan se kis ban se aaya hai naya sal
han dekhiye kis shan se aaya hai naya sal
aaya hai naya sal
aaya hai naya sal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.