aaya aam ka mausam aaya
june ne jūñhī jalva dikhāyā
dil ne ḳhushī kā naġhma gaayā
aayā aam kā mausam aayā
ham ne garmī kī chhuTTī meñ
mīThe aam kā lutf uThāyā
aayā aam kā mausam aayā
shiddat jab garmī kī baḌhī to
mere rab ne meñh barsāyā
aayā aam kā mausam aayā
pahle is ko frēze meñ rakkhā
batn meñ is ke baad biThāyā
aayā aam kā mausam aayā
kuchh bhī na chhoḌā juz chhilkoñ ke
guThlī chūsī guudā khāyā
aayā aam kā mausam aayā
chauñse kā ras chūsā ham ne
sindhḌī kā phir shake banāyā
aayā aam kā mausam aayā
ḳhud vo kitnā mīThā hogā
jis ne shīrīñ aam banāyā
aayā aam kā mausam aayā
june ne junhi jalwa dikhaya
dil ne KHushi ka naghma gaya
aaya aam ka mausam aaya
hum ne garmi ki chhuTTi mein
miThe aam ka lutf uThaya
aaya aam ka mausam aaya
shiddat jab garmi ki baDhi to
mere rab ne meinh barsaya
aaya aam ka mausam aaya
pahle is ko freeze mein rakkha
batn mein is ke baad biThaya
aaya aam ka mausam aaya
kuchh bhi na chhoDa juz chhilkon ke
guThli chusi guda khaya
aaya aam ka mausam aaya
chaunse ka ras chusa hum ne
sindhDi ka phir shake banaya
aaya aam ka mausam aaya
KHud wo kitna miTha hoga
jis ne shirin aam banaya
aaya aam ka mausam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.