aaya mausam jaDe ka
sar se pā tak jism ko Dhāñpeñ aayā mausam jaaḌe kā
lekin phir bhī thar thar kāñpeñ aayā mausam jaaḌe kā
pahle dhuup nikaltī thī to ham us se ghabrāte the
hotī thī dopahar to bhayyā kamroñ meñ ghus jaate the
sūraj Dhaltā lū kam hotī tab ham bāhar aate the
garmī se bachne kī ḳhātir pañkhe ḳhuub chalāte the
garmī kā ab zikr nahīñ hai aayā mausam jaaḌe kā
pañkhe kī ab fikr nahīñ hai aayā mausam jaaḌe kā
garmī se chhuTkārā paayā to bārish ne gher liyā
kaale kaale bādal chhā.e din bhī aadhī raat lagā
rim-jhim rim-jhim rim-jhim rim-jhim paanī phir din raat paḌā
ghar se bāhar kaam ko jaanā logoñ ko dushvār huā
kaalī kaalī raat ga.ī tab aayā mausam jaaḌe kā
ruḳhsat jab barsāt huī tab aayā mausam jaaḌe kā
ab koī jacket pahne hai koī achkan pahne hai
koī sweater coat alisTar muflar ḳhuub lapeTe hai
sar par uunī shaal kisī ke koī kambal oḌhe hai
ġharz ki jis ko jo hai mayassar us se jism chhupā.e hai
kitnā hī sar se pā tak Dhāñpeñ aayā mausam jaaḌe kā
lekin phir bhī thar-thar kāñpeñ aayā mausam jaaḌe kā
sar se pa tak jism ko Dhanpen aaya mausam jaDe ka
lekin phir bhi thar thar kanpen aaya mausam jaDe ka
pahle dhup nikalti thi to hum us se ghabraate the
hoti thi dopahar to bhayya kamron mein ghus jate the
suraj Dhalta lu kam hoti tab hum bahar aate the
garmi se bachne ki KHatir pankhe KHub chalate the
garmi ka ab zikr nahin hai aaya mausam jaDe ka
pankhe ki ab fikr nahin hai aaya mausam jaDe ka
garmi se chhuTkara paya to barish ne gher liya
kale kale baadal chhae din bhi aadhi raat laga
rim-jhim rim-jhim rim-jhim rim-jhim pani phir din raat paDa
ghar se bahar kaam ko jaana logon ko dushwar hua
kali kali raat gai tab aaya mausam jaDe ka
ruKHsat jab barsat hui tab aaya mausam jaDe ka
ab koi jacket pahne hai koi achkan pahne hai
koi sweater coat alisTar muflar KHub lapeTe hai
sar par uni shaal kisi ke koi kambal oDhe hai
gharz ki jis ko jo hai mayassar us se jism chhupae hai
kitna hi sar se pa tak Dhanpen aaya mausam jaDe ka
lekin phir bhi thar-thar kanpen aaya mausam jaDe ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.