aazadi ke diwane
ham āzādī ke dīvāne ye duniyā farzānoñ kī
is paapī sansār meñ baabā kaun sune dīvānoñ kī
masjid mandir sab ke andar raaj ġhulāmī kartī hai
daulat le kar naam ḳhudā kā ghar ghar dharnā dhartī hai
koThī bañgle gore sāñpoñ kī ik aisī bastī hai
jo bhārat ke bhole-bhāle insānoñ ko Dastī hai
un se bach kar chalnā baabā ye qātil zahrīle haiñ
sūrat ke mohan haiñ bhītar se sab niile piile haiñ
shaidā huuñ āzādī kā āzād-nagar meñ Derā hai
kyā batlā.ūñ mere bhayyā kaun jahāñ meñ merā hai
vo merā jo āzādī kī zulfoñ kā dīvāna hai
vo merā jo sham-e-vatan kā shaidā.ī parvāna hai
vo merā jo maut ke aage be-jigarī se tantā hai
vo merā jo aap na ho kuchh jis kī sab kuchh jantā hai
vo merā jo hañste hañste phāñsī par chaḌh jaatā hai
vo merā jo maut se bhī do chaar qadam baḌh jaatā hai
āzādī ke tālib sun le maut hī merī manzil hai
tū duniyā kā ban saktā hai merā banñā mushkil hai
hum aazadi ke diwane ye duniya farzanon ki
is papi sansar mein baba kaun sune diwanon ki
masjid mandir sab ke andar raj ghulami karti hai
daulat le kar nam KHuda ka ghar ghar dharna dharti hai
koThi bangle gore sanpon ki ek aisi basti hai
jo bhaarat ke bhole-bhaale insanon ko Dasti hai
un se bach kar chalna baba ye qatil zahrile hain
surat ke mohan hain bhitar se sab nile pile hain
shaida hun aazadi ka aazad-nagar mein Dera hai
kya batlaun mere bhayya kaun jahan mein mera hai
wo mera jo aazadi ki zulfon ka diwana hai
wo mera jo sham-e-watan ka shaidai parwana hai
wo mera jo maut ke aage be-jigari se tanta hai
wo mera jo aap na ho kuchh jis ki sab kuchh janta hai
wo mera jo hanste hanste phansi par chaDh jata hai
wo mera jo maut se bhi do chaar qadam baDh jata hai
aazadi ke talib sun le maut hi meri manzil hai
tu duniya ka ban sakta hai mera banna mushkil hai
- Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 276)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
- Edition : 1982,Editon II 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.