zarā dekho to maañ peḌoñ pe chiḌiyāñ
ḳhushī ke giit kaise gā rahī haiñ
batāo kab tak aa.egā vo din maañ
ki maiñ gā.uñgā āzādī ke naġhme
mire beTe na ho māyūs hargiz
nadī jaise pahāḌoñ se utar kar
samundar kī taraf chaltī hai sarmast
ki makkhī shahd kī jaise dam-e-shām
palaTtī hai to chhatte hī kī jānib
bahut tezī se baḌhtā jā rahā hai
use roke bhalā kis meñ hai tāqat
use Toke bhalā kis meñ hai jur.at
mire beTe yaqīñ kar ek din tū
isī chiḌiyā kī sūrat hogā āzād
qafas kī tīliyāñ TūTeñgī ik din
fazā.eñ qaid se chhūTeñgī ik din
na.ī manzil kī ḳhātir mere jāñbāz
kisī taaza safar kā hogā āġhāz
zara dekho to man peDon pe chiDiyan
KHushi ke git kaise ga rahi hain
batao kab tak aaega wo din man
ki main gaunga aazadi ke naghme
mere beTe na ho mayus hargiz
nadi jaise pahaDon se utar kar
samundar ki taraf chalti hai sarmast
ki makkhi shahd ki jaise dam-e-sham
palaTti hai to chhatte hi ki jaanib
bahut tezi se baDhta ja raha hai
use roke bhala kis mein hai taqat
use Toke bhala kis mein hai jurat
mere beTe yaqin kar ek din tu
isi chiDiya ki surat hoga aazad
qafas ki tiliyan TuTengi ek din
fazaen qaid se chhuTengi ek din
nai manzil ki KHatir mere jaanbaz
kisi taza safar ka hoga aaghaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.