aazadon ka git
mere din sairāb hue haiñ
nīndeñ ghor samundar jaisī
merī aañkh se lipTī haiñ
sub.h kī saa.at āzādoñ kā giit banī hai
saath chalī hai sayyāhoñ ke raste par
maiñ ek savār
sadā ke rath par baiTh ke jā.ūñ
sūraj-mukhī ke jalse meñ
baat karūñ tyauhāroñ kī
jo mere vasl ke darvāzoñ tak aa pahuñche haiñ
merī umr ke khaliyānoñ meñ
jin kī fasleñ na.e nisāb se utrī haiñ
baat karūñ us nisbat kī
jo phuul utarte mausam kī poshāk meñ aa.ī
tere dil meñ mere dil meñ
kaise apnī bhāshā se maiñ shahad banā.ūñ
kaise duudh kashīd karūñ
un bātoñ se jo sab kī jānī-būjhī haiñ
mere din sairāb hue haiñ
jaise sūraj aur kabūtar uḌ jaate haiñ
apne apne Darboñ se
jaise paanī bah jaatā hai dariyāoñ ke āñgan se
aise hī mere din kyā ma.alūm?
kahāñ tak jaa.eñ
kin rishtoñ meñ jāgnā chāheñ
mere din sairab hue hain
ninden ghor samundar jaisi
meri aankh se lipTi hain
subh ki saat aazadon ka git bani hai
sath chali hai sayyahon ke raste par
main ek sawar
sada ke rath par baiTh ke jaun
suraj-mukhi ke jalse mein
baat karun tyauhaaron ki
jo mere wasl ke darwazon tak aa pahunche hain
meri umr ke khaliyanon mein
jin ki faslen nae nisab se utri hain
baat karun us nisbat ki
jo phul utarte mausam ki poshak mein aai
tere dil mein mere dil mein
kaise apni bhasha se main shahad banaun
kaise dudh kashid karun
un baaton se jo sab ki jaani-bujhi hain
mere din sairab hue hain
jaise suraj aur kabutar uD jate hain
apne apne Darbon se
jaise pani bah jata hai dariyaon ke aangan se
aise hi mere din kya malum?
kahan tak jaen
kin rishton mein jagna chahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.