aazmaish shart thi
zinda rahnā siikh kar bhī maiñ ne shāyad
zindagī ko durd-e-tah tak
pī ke jiine kī kabhī koshish nahīñ kii!
pyaas thī paanī nahīñ thā
sabr se shukr-o-razā ke band hujroñ meñ bañdhā
baiThā rahā aur halq meñ jab pyaas ke kāñTe chubhe to
sah gayā maiñ!
mere ghar vāloñ ne, mere biivī bachchoñ ne bhī
jalte hoñT sī kar pyaas ke kāñToñ ko sahne
sabr se shukr-o-razā ke band hujroñ meñ
taḌapne kā sabaq sīkhā mujhī se
ye sarāsar buz-dilī thii, un se dhokā thā
ki maiñ ne ḳhud ko pahchānā nahīñ thaa!
maiñ bhī muusā kī tarah
ġhusse meñ apnī āstīnoñ ko chaḌhātā
aur asā kī ek kaarī choT se
chaTTān ke TukḌe agar kartā
to shāyad bāzyābī ke amal meñ mujh pe khultā
rahbarī kā fan nubuvvat kā karishma
pyaas se halkān logoñ ke liye paanī kā chashma
āzmā.ish shart thī
maiñ ne kabhī puurī nahīñ kī
zinda rahna sikh kar bhi main ne shayad
zindagi ko durd-e-tah tak
pi ke jine ki kabhi koshish nahin ki!
pyas thi pani nahin tha
sabr se shukr-o-raza ke band hujron mein bandha
baiTha raha aur halq mein jab pyas ke kanTe chubhe to
sah gaya main!
mere ghar walon ne, mere biwi bachchon ne bhi
jalte honT si kar pyas ke kanTon ko sahne
sabr se shukr-o-raza ke band hujron mein
taDapne ka sabaq sikha mujhi se
ye sarasar buz-dili thi, un se dhoka tha
ki main ne KHud ko pahchana nahin tha!
main bhi musa ki tarah
ghusse mein apni aastinon ko chaDhata
aur asa ki ek kari choT se
chaTTan ke TukDe agar karta
to shayad bazyabi ke amal mein mujh pe khulta
rahbari ka fan nubuwwat ka karishma
pyas se halkan logon ke liye pani ka chashma
aazmaish shart thi
main ne kabhi puri nahin ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.