ab bhi raushan hain
ab bhī raushan haiñ vahī dast hinā-ālūda
reg-e-sahrā hai na qadmoñ ke nishāñ baaqī haiñ
ḳhushk ashkoñ kī nadī ḳhuun kī Thahrī huī dhaar
bhūle-bisre hue lamhāt ke sūkhe hue ḳhaar
haath uThā.e hue aflāk kī jānib ashjār
kāmrānī hī kī gintī na hazīmat kā shumār
sirf ik dard kā jañgal hai faqat hū kā dayār
jab guzartī hai magar ḳhvāboñ ke vīrāne se
ashk-ālūda tabassum ke charāġhoñ kī qatār
jagmagā uThte haiñ gesū-e-sabā-ālūda
Toliyāñ aatī haiñ nau-umr tamannāoñ kī
dasht-e-be-rañg-e-ḳhamoshī meñ machātī huī shor
phuul māthe se baraste haiñ nazar se taare
ek ik gaam pe jaadū ke mahl bante haiñ
naddiyāñ bahtī haiñ āñchal se havā chaltī hai
pattiyāñ hañstī haiñ uḌtā hai kiran kā sonā
aisā lagtā hai ki be-rahm nahīñ hai duniyā
aisā lagtā hai ki be-zulm zamāne ke haiñ haath
bevafā.ī bhī ho jis tarah vafā-ālūda
aur phir shāḳhoñ se talvāreñ baras paḌtī haiñ
jabr jaag uThtā hai saffākī javāñ hotī hai
saa.e jo sabz the paḌ jaate haiñ pal bhar meñ siyāh
aur har moḌ pe ifrītoñ kā hotā hai gumāñ
koī bhī raah ho maqtal kī taraf muḌtī hai
dil meñ ḳhanjar ke utarne kī sadā aatī hai
tīrgī ḳhuuñ ke ujāle meñ nahā jaatī hai
shām-e-ġham hotī hai namnāk o ziyā-ālūda
yahī mazlūmoñ kī jiit aur yahī zālim kī shikast
ki tamannā.eñ salīboñ se utar aatī haiñ
apnī qabroñ se nikaltī haiñ masīhā ban kar
qatl-gāhoñ se vo uThtī haiñ duāoñ kī tarah
dasht o dariyā se guzartī haiñ havāoñ kī tarah
mohr jab lagtī hai hoñToñ pe zabāñ par taale
qaid jab hotī hai siine meñ diloñ kī dhaḌkan
ruuh chīḳh uThtī hai hilte haiñ shajar aur hajar
ḳhāmushī hotī hai kuchh aur navā-ālūda
sar-kashī DhūñDhtī hai zauq-e-gunahgārī ko
ḳhud se sharminda nahīñ auroñ se sharminda nahīñ
ye mirā dil ki hai māsūm o ḳhatā-ālūd
ab bhi raushan hain wahi dast hina-aluda
reg-e-sahra hai na qadmon ke nishan baqi hain
KHushk ashkon ki nadi KHun ki Thahri hui dhaar
bhule-bisre hue lamhat ke sukhe hue KHar
hath uThae hue aflak ki jaanib ashjar
kaamrani hi ki ginti na hazimat ka shumar
sirf ek dard ka jangal hai faqat hu ka dayar
jab guzarti hai magar KHwabon ke virane se
ashk-aluda tabassum ke charaghon ki qatar
jagmaga uThte hain gesu-e-saba-aluda
Toliyan aati hain nau-umr tamannaon ki
dasht-e-be-rang-e-KHamoshi mein machati hui shor
phul mathe se baraste hain nazar se tare
ek ek gam pe jadu ke mahl bante hain
naddiyan bahti hain aanchal se hawa chalti hai
pattiyan hansti hain uDta hai kiran ka sona
aisa lagta hai ki be-rahm nahin hai duniya
aisa lagta hai ki be-zulm zamane ke hain hath
bewafai bhi ho jis tarah wafa-aluda
aur phir shaKHon se talwaren baras paDti hain
jabr jag uThta hai saffaki jawan hoti hai
sae jo sabz the paD jate hain pal bhar mein siyah
aur har moD pe ifriton ka hota hai guman
koi bhi rah ho maqtal ki taraf muDti hai
dil mein KHanjar ke utarne ki sada aati hai
tirgi KHun ke ujale mein naha jati hai
sham-e-gham hoti hai namnak o ziya-aluda
yahi mazlumon ki jit aur yahi zalim ki shikast
ki tamannaen salibon se utar aati hain
apni qabron se nikalti hain masiha ban kar
qatl-gahon se wo uThti hain duaon ki tarah
dasht o dariya se guzarti hain hawaon ki tarah
mohr jab lagti hai honTon pe zaban par tale
qaid jab hoti hai sine mein dilon ki dhaDkan
ruh chiKH uThti hai hilte hain shajar aur hajar
KHamushi hoti hai kuchh aur nawa-aluda
sar-kashi DhunDhti hai zauq-e-gunahgari ko
KHud se sharminda nahin auron se sharminda nahin
ye mera dil ki hai masum o KHata-alud
- Book : Ek Khvab aur (Pg. 29)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.