ab dhup chaDhi diwaron par
ab vaqt-e-safar aa pahuñchā hai aa mil baiTheñ do-chār ghaḌī
jab pahle-pahal tum aa.e the āġhāz-e-sahar kā mela thā
kuchh kirneñ maddham maddham thiiñ kuchh ujlā ujlā dhuñdlakā thā
kuchh aisī umañgeñ thiiñ dil meñ
jo sarkash bhī ma.asūm bhī thiiñ
kuchh hastī boltī nazreñ thiiñ
jo shoḳh bhī be-mafhum bhī thiiñ
sūraj kī ubhartī kirneñ bhī yuuñ khel rahī thiiñ pahāḌoñ par
jis tarah havā añgāroñ par
nazreñ thiiñ mirī kohsāroñ par
phir dhuup chaḌhī mausam badlā
hālāt kī gardish tez huī
bāhar kī fazā haijānī thī
andar ke talātum ḳhez huī
kuchh aisī balā kī shiddat se Takrāo huā tūfānoñ kā
jo qadreñ thiiñ pāmāl huiiñ
jo ḳhvāb the chaknā-chūr hue
chand ek lamhe haañ lekin
fardā ke jo ḳhadd-o-ḳhāl bane
jo haal se istiqbāl bane
kuchh yādeñ jī kā vabāl huiiñ
kuchh zaḳhm ki jo nāsūr bane
kuchh ashk jo ġhālib aa ke rahe tūfān ke sarkash dhāroñ par
tūfāñ ke thapeḌoñ meñ bhī kabhī
jab muḌ ke dekhā kināroñ par
paañv the anā kī rakāboñ meñ nazreñ thiiñ mirī kohsāroñ par
ab din kā mela ḳhatm huā
ab dhuup chaḌhī dīvāroñ par
ab añdhiyāroñ kā mela hai ġhāroñ shahroñ kohsāroñ par
ab raakh chaḌhī añgāroñ par
ab vaqt-e-safar aa pahuñchā hai aa mil baiTheñ do-chār ghaḌī
ab waqt-e-safar aa pahuncha hai aa mil baiThen do-chaar ghaDi
jab pahle-pahal tum aae the aaghaz-e-sahar ka mela tha
kuchh kirnen maddham maddham thin kuchh ujla ujla dhundlaka tha
kuchh aisi umangen thin dil mein
jo sarkash bhi masum bhi thin
kuchh hasti bolti nazren thin
jo shoKH bhi be-mafhum bhi thin
suraj ki ubharti kirnen bhi yun khel rahi thin pahaDon par
jis tarah hawa angaron par
nazren thin meri kohsaron par
phir dhup chaDhi mausam badla
haalat ki gardish tez hui
bahar ki faza haijaani thi
andar ke talatum KHez hui
kuchh aisi bala ki shiddat se Takrao hua tufanon ka
jo qadren thin pamal huin
jo KHwab the chakna-chur hue
chand ek lamhe han lekin
farda ke jo KHadd-o-KHal bane
jo haal se istiqbaal bane
kuchh yaaden ji ka wabaal huin
kuchh zaKHm ki jo nasur bane
kuchh ashk jo ghaalib aa ke rahe tufan ke sarkash dhaaron par
tufan ke thapeDon mein bhi kabhi
jab muD ke dekha kinaron par
panw the ana ki rakabon mein nazren thin meri kohsaron par
ab din ka mela KHatm hua
ab dhup chaDhi diwaron par
ab andhiyaron ka mela hai ghaaron shahron kohsaron par
ab rakh chaDhi angaron par
ab waqt-e-safar aa pahuncha hai aa mil baiThen do-chaar ghaDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.