ab din ki baaten karte hain
lo raat kī baat tamām huī
ab din kī bāteñ karte haiñ
sab ḳhvāb tamāshe dhuul hue
aur jugnū taare diip sabhī
parkāsh ke phaile sāgar meñ
chamkāT dikhānā bhuul ga.e
ik chāñd ki shab bhar saath rahā
vo chāñd bhī gir kar TuuT gayā
lo raat kī baat tamām huī
ab din kī bāteñ karte haiñ
phūloñ ke suuje chehroñ par
shabnam kī chiḌiyāñ utrī thiiñ
in chiḌiyoñ par ham sūraj ke
tīroñ kā nishāna takte haiñ
adh-mīchī apnī palkoñ se
ham galiyoñ aur bāzāroñ meñ
sone ke reze chunte haiñ
aur dāġhoñ dhabboñ shiknoñ se
dīvāreñ kaalī karte haiñ
phir ujle kāġhaz par likkhī
sab gandī ḳhabreñ paḌhte haiñ
lo raat kī baat tamām huī
ab din kī bāteñ karte haiñ
lo raat ki baat tamam hui
ab din ki baaten karte hain
sab KHwab tamashe dhul hue
aur jugnu tare dip sabhi
parkash ke phaile sagar mein
chamkaT dikhana bhul gae
ek chand ki shab bhar sath raha
wo chand bhi gir kar TuT gaya
lo raat ki baat tamam hui
ab din ki baaten karte hain
phulon ke suje chehron par
shabnam ki chiDiyan utri thin
in chiDiyon par hum suraj ke
tiron ka nishana takte hain
adh-michi apni palkon se
hum galiyon aur bazaron mein
sone ke reze chunte hain
aur daghon dhabbon shiknon se
diwaren kali karte hain
phir ujle kaghaz par likkhi
sab gandi KHabren paDhte hain
lo raat ki baat tamam hui
ab din ki baaten karte hain
- Book : Tasteer(Issue No. 9,10 July/August. 1999) (Pg. 258)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.