ab gila nahin karna
ab ke ham ne sochā hai
jis ne bhī rulāyā ho
laakh dil dukhāyā ho
muskurā ke milnā hai
ab kisī ummīd kā
mahal khaḌā nahīñ karnā
ḳhud se ab nahīñ laḌnā
tum se kuchh nahīñ kahnā
ab gila nahīñ karnā
yaad ke kināre aur
ḳhvāb ke jazīre to
kab haiñ iḳhtiyār meñ
haañ magar haqīqat ke
rāstoñ pe bhuul kar
tum se ab nahīñ milnā
jhiil jaisī āñkhoñ ko
namkīn pāniyoñ ke saath
ab kabhī nahīñ bharnā
ḳhud se ab nahīñ laḌnā
tum se kuchh nahīñ kahnā
ab gila nahīñ karnā
ab ke hum ne socha hai
jis ne bhi rulaya ho
lakh dil dukhaya ho
muskura ke milna hai
ab kisi ummid ka
mahal khaDa nahin karna
KHud se ab nahin laDna
tum se kuchh nahin kahna
ab gila nahin karna
yaad ke kinare aur
KHwab ke jazire to
kab hain iKHtiyar mein
han magar haqiqat ke
raston pe bhul kar
tum se ab nahin milna
jhil jaisi aankhon ko
namkin paniyon ke sath
ab kabhi nahin bharna
KHud se ab nahin laDna
tum se kuchh nahin kahna
ab gila nahin karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.