ab ki jab
ab ki jab aa ga.ī hai shām-e-shabāb
abrūoñ kī tarāsh se hāsil
dil meñ jab pahlā sā vo pyaar nahīñ
ab gulāboñ pe vo nikhār nahīñ
kho chuke apnā tīkhā-pan bādām
sañbhlī sañbhlī haiñ āj-kal mādām
chup huā ḳhvāhishoñ kā āvāza
bū-e-tāza se hai tahī ġhāza
aur kājal meñ vo ḳhumār nahīñ
bāñkpan ab maza nahīñ detā
husn bhī ho chalā udaas udaas
ab nahīñ hai libās meñ bhī pyaas
piirī hone lagī hai ab vārid
ho ga.iiñ aap daf.atan bārid
kitne hī din milan nahīñ hotā
pyaar kā ye chalan nahīñ hotā
ab ki jab aa gai hai sham-e-shabab
abruon ki tarash se hasil
dil mein jab pahla sa wo pyar nahin
ab gulabon pe wo nikhaar nahin
kho chuke apna tikha-pan baadam
sanbhli sanbhli hain aaj-kal madam
chup hua KHwahishon ka aawaza
bu-e-taza se hai tahi ghaza
aur kajal mein wo KHumar nahin
bankpan ab maza nahin deta
husn bhi ho chala udas udas
ab nahin hai libas mein bhi pyas
piri hone lagi hai ab warid
ho gain aap dafatan barid
kitne hi din milan nahin hota
pyar ka ye chalan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.