ab
vo ek lamha jo ''ab'' nahīñ hai
guzar chukā hai
vo ek lamha jo ''ab'' nahīñ hai
hai aane vaalā
guzar chukā hai jo ek lamha vo maiñ nahīñ huuñ
hai aane vaalā jo ek lamha vo tū nahīñ hai
ki ek lamha haiñ
donoñ ham tum
vo ek lamha jo sirf ''ab'' hai
yahī azal hai
yahī abad hai
wo ek lamha jo ab nahin hai
guzar chuka hai
wo ek lamha jo ab nahin hai
hai aane wala
guzar chuka hai jo ek lamha wo main nahin hun
hai aane wala jo ek lamha wo tu nahin hai
ki ek lamha hain
donon hum tum
wo ek lamha jo sirf ab hai
yahi azal hai
yahi abad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.