ab to kuchh aisa lagta hai
ab to kuchh aisā lagtā hai
saarā jag mujh se chhoTā hai
āñkheñ bhī mirī bojhal bojhal
shānoñ par bhī kuchh rakkhā hai
kātib-e-vaqt ne jaate jaate
chehre par kuchh likh sā diyā hai
ā.īne meñ chehra khole
dekh rahī huuñ kyā likhkhā hai
likhkhā hai tire ruup kā haala
aur kisī ke gird sajā hai
likhkhā hai zulfoñ kā do-shāla
aur kisī ne oḌh liyā hai
likhkhā hai āñkhoñ kā piyāla
kahīñ kahīñ se TuuT rahā hai
paḌh kar mus.haf-e-ruḳh kī ibārat
dil ko itmīnān huā hai
ruuh talak sarshār hai merī
ā.īna hairān huā hai
us ko shāyad ilm nahīñ hai
merā dāman ab bhī bharā hai
jo rakhnā thā rakkhe hue huuñ
jo denā thā baañT diyā hai
ab to kuchh aisa lagta hai
sara jag mujh se chhoTa hai
aankhen bhi meri bojhal bojhal
shanon par bhi kuchh rakkha hai
katib-e-waqt ne jate jate
chehre par kuchh likh sa diya hai
aaine mein chehra khole
dekh rahi hun kya likhkha hai
likhkha hai tere rup ka haala
aur kisi ke gird saja hai
likhkha hai zulfon ka do-shaala
aur kisi ne oDh liya hai
likhkha hai aankhon ka piyala
kahin kahin se TuT raha hai
paDh kar mushaf-e-ruKH ki ibarat
dil ko itminan hua hai
ruh talak sarshaar hai meri
aaina hairan hua hai
us ko shayad ilm nahin hai
mera daman ab bhi bhara hai
jo rakhna tha rakkhe hue hun
jo dena tha banT diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.