ab to kuchh bhi yaad nahin
kitne manzar TuuT ke girte rahte haiñ
in ā.ankhoñ se
yaḳh-basta pātāloñ meñ
kitne dukh har lamha lipTe rahte haiñ
ujle paañv ke chhāloñ se
kin yādoñ kā bojh uThā.e
phirte haiñ
ham zehnoñ meñ
jo baaqī nahīñ havāloñ meñ
chāñdnī jaise kitne hī jism
Dūbte Dūbte chīḳh rahe the
miTTī ke kachche pyāloñ meñ
aur ab to kuchh aisā hai
jin kī ḳhātir ham ne saarī umr gañvā.ī
yaad nahīñ vo aa.e
guzre sāloñ meñ
kitne manzar TuT ke girte rahte hain
in aaankhon se
yaKH-basta patalon mein
kitne dukh har lamha lipTe rahte hain
ujle panw ke chhaalon se
kin yaadon ka bojh uThae
phirte hain
hum zehnon mein
jo baqi nahin hawalon mein
chandni jaise kitne hi jism
Dubte Dubte chiKH rahe the
miTTi ke kachche pyalon mein
aur ab to kuchh aisa hai
jin ki KHatir hum ne sari umr ganwai
yaad nahin wo aae
guzre salon mein
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 98)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.