ababil ko samt do
Interesting Fact
Volume No. 70, March 1972
suno
raat kahtī hai kyā
us ke lab tīrgī meñ khule
aur sadiyoñ kī dahshat siyāhī
bhayānak añdheroñ ke malbe ko
aane lagī jhurjhurī
chīḳhtī ik abābīl
ḳhālī darīchoñ shikasta sī mehrāb aur karb-ālūd sahme
hue taaq kī
kashmakash jheltī
dā.ere ḳhat musallas ke ġham khīñchtī phaḌphaḌāne lagī
dard kis
be-zabāñ ġham-zada sar-burīda mujassam kā hai
ḳhuun apnā sañbhālo zarā
hādse ke samundar meñ is saañs ko
ab uchhālo zarā
sāhilī pur-sukūñ pāniyoñ se ubhartī huī
rasmasāhaT ke pīchhe
chhupā kaun hai
lā-zamīñ lā-makāñ aur lā-jism
ye qatra qatra lahū
chāñd se ik jazīre ke ‘irfān meñ
rū-ba-sailāb hai
ābshāroñ se girtī huī
an-ginat barq sī be-tamāshā na.ī uñgliyoñ kī hañsī
in nigāhoñ meñ jab
gudgudī pherne aur sargoshiyoñ meñ har ik ''an-kahī''
rone ke liye
tum se milne ko betāb hai
to is raat ke kasmasāte hue hoñT kā
dil suno
aur abābīl ko samt do
suno
raat kahti hai kya
us ke lab tirgi mein khule
aur sadiyon ki dahshat siyahi
bhayanak andheron ke malbe ko
aane lagi jhurjhuri
chiKHti ek ababil
KHali darichon shikasta si mehrab aur karb-alud sahme
hue taq ki
kashmakash jhelti
daere KHat musallas ke gham khinchti phaDphaDane lagi
dard kis
be-zaban gham-zada sar-burida mujassam ka hai
KHun apna sanbhaalo zara
hadse ke samundar mein is sans ko
ab uchhaalo zara
sahili pur-sukun paniyon se ubharti hui
rasmasahaT ke pichhe
chhupa kaun hai
la-zamin la-makan aur la-jism
ye qatra qatra lahu
chand se ek jazire ke ‘irfan mein
ru-ba-sailab hai
aabshaaron se girti hui
an-ginat barq si be-tamasha nai ungliyon ki hansi
in nigahon mein jab
gudgudi pherne aur sargoshiyon mein har ek an-kahi
rone ke liye
tum se milne ko betab hai
to is raat ke kasmasate hue honT ka
dil suno
aur ababil ko samt do
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 1968)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.