abad
maut kis raah par khaḌī merī raah dekh rahī hai
abhī abhī maiñ ne havā kī an dekhī chādar meñ sūrāḳh kiyā hai
aur bahut uupar ke bādaloñ ko chhalnī kar diyā hai
zamīn bhar kī vo saarī miTTī
jo an-ginat dafn hone vāloñ
kī kīmiyā se banī hai
aur chāroñ dishāoñ meñ
an-ginat badan jaloñ kī chitāoñ kī jo raakh banī hai
kahāñ le jā.egī mujhe
maiñ to ab vo huuñ hī nahīñ jo kabhī huā kartā thā
ab na to meñ kabhī sotā huuñ aur na kabhī jāgtā huuñ
maiñ na paañv chaltā huuñ na maiñ qadam-sākin huuñ
maut mere paañv ke binā chal saktī hai
maut mere qadam ke binā sākin ho saktī hai
ab ġhilāf-e-zindagī kī koī bhī ek parat rah ga.ī ho
to use zindagī se haTā diyā jaa.e
jab uqaab ūñchī uḌaan par ho
to us kī aañkh meñ koī suī chubhoī nahīñ jā saktī
maut ne mujhe uqaab banā diyā hai
yā shāyad mujhe kisī farishte meñ tabdīl kar diyā hai
ab mujhe zamīn par yā zamīn kī fuzūl duniyā kī sat.h par DhūñDā na jaa.e
maiñ ab kisī kī dastaras meñ nahīñ ho
maut kis rah par khaDi meri rah dekh rahi hai
abhi abhi main ne hawa ki an dekhi chadar mein suraKH kiya hai
aur bahut upar ke baadalon ko chhalni kar diya hai
zamin bhar ki wo sari miTTi
jo an-ginat dafn hone walon
ki kimiya se bani hai
aur chaaron dishaon mein
an-ginat badan jalon ki chitaon ki jo rakh bani hai
kahan le jaegi mujhe
main to ab wo hun hi nahin jo kabhi hua karta tha
ab na to mein kabhi sota hun aur na kabhi jagta hun
main na panw chalta hun na main qadam-sakin hun
maut mere panw ke bina chal sakti hai
maut mere qadam ke bina sakin ho sakti hai
ab ghilaf-e-zindagi ki koi bhi ek parat rah gai ho
to use zindagi se haTa diya jae
jab uqab unchi uDan par ho
to us ki aankh mein koi sui chubhoi nahin ja sakti
maut ne mujhe uqab bana diya hai
ya shayad mujhe kisi farishte mein tabdil kar diya hai
ab mujhe zamin par ya zamin ki fuzul duniya ki sath par DhunDa na jae
main ab kisi ki dastaras mein nahin ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.