abad-gazīda
ḳhizāñ-rasīda
badan-darīda
kahāñ chalā hai tū sar-burīda
ajal kī bārāt jā rahī hai
ye kaun Damrū bajā rahā hai
fanā kī devī na.ī vabāoñ kī taaza fasleñ ugā rahī hai
'ajab ghaḌī hai
'adam kī bastī meñ bhairvīñ gaa.ī jā rahī hai
magar tahayyur ke āsmānoñ meñ ik sitāra
tilism-e-hastī ke ḳhushk hote samundaroñ se
bas ek qatra
abad kī gahrī siyāhiyoñ meñ
vo ek be-jism
raushnī kā haqīr zarra
vo ek zarra ki jis ke dam se damak uTheñgī
na-jāne kitnī hī kahkashā.eñ
varīd-e-jāñ se Tapakne vaalī umiid kā be-misāl jauhar
'ajab karishme dikhā rahā hai
ka.ī farishte tabāhiyoñ ke
ajal ke kitne hī devtā
apnī hairat kī chilmanoñ se nikal ke bāhar
ye dam-ba-ḳhud us se pūchhte haiñ
tū apne jūtoñ samet mā'bad meñ kaise pahuñchā
abad-gazida
KHizan-rasida
badan-darida
kahan chala hai tu sar-burida
ajal ki baraat ja rahi hai
ye kaun Damru baja raha hai
fana ki dewi nai wabaon ki taza faslen uga rahi hai
'ajab ghaDi hai
'adam ki basti mein bhairwin gai ja rahi hai
magar tahayyur ke aasmanon mein ek sitara
tilism-e-hasti ke KHushk hote samundaron se
bas ek qatra
abad ki gahri siyahiyon mein
wo ek be-jism
raushni ka haqir zarra
wo ek zarra ki jis ke dam se damak uThengi
na-jaane kitni hi kahkashaen
warid-e-jaan se Tapakne wali umid ka be-misal jauhar
'ajab karishme dikha raha hai
kai farishte tabahiyon ke
ajal ke kitne hi dewta
apni hairat ki chilmanon se nikal ke bahar
ye dam-ba-KHud us se puchhte hain
tu apne juton samet ma'bad mein kaise pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.