abadi masala
koī kapḌe pe buuTe kāḌhe koī phuul banā.e
koī apnā bālak paale koī ghar ko sajā.e
koī bas āvāz ke bil par bujhte diip jalā.e
koī rañgoñ se kāġhaz andar jīvan jot jagā.e
koī patthar īñTeñ joḌe tāj-mahal banā.e
koī mimbar uupar kuuke paap agnī se Darā.e
koī ghuñghrū bāñdh ke nāche añg kalā dikhlā.e
koī dhartī kyārī sīñche phal-phulvārī ugaa.e
koī miTTī gūñdhe us ko maañs samāñ banā.e
koī baiThā āñkheñ mīche gūñge shabd bulā.e
ek hī sab ko rog hai par tū har man ko barmā.e
kaise koī duuje ko nit apnā aap dikhā.e
koi kapDe pe buTe kaDhe koi phul banae
koi apna baalak pale koi ghar ko sajae
koi bas aawaz ke bil par bujhte dip jalae
koi rangon se kaghaz andar jiwan jot jagae
koi patthar inTen joDe taj-mahal banae
koi mimbar upar kuke pap agni se Darae
koi ghunghru bandh ke nache ang kala dikhlae
koi dharti kyari sinche phal-phulwari ugae
koi miTTi gundhe us ko mans saman banae
koi baiTha aankhen miche gunge shabd bulae
ek hi sab ko rog hai par tu har man ko barmae
kaise koi duje ko nit apna aap dikhae
- Book : AURAAQ (Pg. 40)
- Author : Wazir Agha, Sajjad Naqvi
- Publication : Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore (April, May 1982)
- Edition : April, May 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.