abas
mirā ghar ajnabī lagtā hai kyuuñ āḳhir
vo rāheñ bhī
jo ghar tak le ke jaatī haiñ
kabhī thiiñ āshnā mujh se
magar nā-āshnā ab haiñ
bahut māyūs huuñ sab se
mujhe pahchānñe vaalā
nahīñ koī
koī rishta bhī ab apnā nahīñ lagtā
yahāñ kī reshmī sub.heñ
ujāle apne āñgan ke
udāsī se bharī shāmeñ
chamakte raat ke taare
sabhī ye mujh se kahte haiñ
ki ab ke jab safar karnā
jahāñ jaanā
vahīñ rahnā
abas hai us jagah aanā
abas hai lauT kar aanā
mera ghar ajnabi lagta hai kyun aaKHir
wo rahen bhi
jo ghar tak le ke jati hain
kabhi thin aashna mujh se
magar na-ashna ab hain
bahut mayus hun sab se
mujhe pahchanne wala
nahin koi
koi rishta bhi ab apna nahin lagta
yahan ki reshmi subhen
ujale apne aangan ke
udasi se bhari shamen
chamakte raat ke tare
sabhi ye mujh se kahte hain
ki ab ke jab safar karna
jahan jaana
wahin rahna
abas hai us jagah aana
abas hai lauT kar aana
- Book : Khayal Darya (Nazmein) (Pg. 95)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Arshia Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.