abba ki ainak
kyā kar rahī haiñ aap yahāñ jald aa.iye
ammī kahāñ hai abbā kī ainak batā.iye
rakh kar yahīñ kahīñ use bhūle haiñ dekhiye
jhūle meñ ittifāq ke jhūle haiñ dekhiye
kiije jo koī baat to jhuñjhlā rahe haiñ vo
collage kā vaqt ho gayā jhallā rahe haiñ vo
un kī nazar meñ apnī hī har chiiz ġhair hai
takiya hai apnī jā pe na chādar ba-ḳhair hai
chīzeñ jo mez pe thiiñ vo sab hī palaT ga.iiñ
takiya hai apnī jā pe na chādar ba-ḳhair hai
chīzeñ jo mez pe thiiñ vo sab hī palaT ga.iiñ
ek ek kar ke saarī kitābeñ ulaT ga.iiñ
kamre kā haal ġhair hai aa kar bachā.iye
ammī ḳhudā ke vāste ab aa bhī jā.iye
ammī ye sun kar dauḌ kar aa.iiñ ba-iztirāb
abbā se ham-kalām huiiñ aate hī shitāb
kyā kar rahe haiñ aap zarā hosh kījiye
rakhī kahāñ thī aap ne ainak ye sochiye
abbā ye kahne paa.e the ki bas usī jagah
itne meñ ammī bol uThīñ ḳhuub vaah vā
vallāh kis kamāl ke haiñ aap aadmī
ajdād meñ do ek rahe hoñge falsafī
kiije durust jā.iye collage ba-sad shitāb
ainak dharī hai aap kī peshānī pe janāb
kya kar rahi hain aap yahan jald aaiye
ammi kahan hai abba ki ainak bataiye
rakh kar yahin kahin use bhule hain dekhiye
jhule mein ittifaq ke jhule hain dekhiye
kije jo koi baat to jhunjhla rahe hain wo
collage ka waqt ho gaya jhalla rahe hain wo
un ki nazar mein apni hi har chiz ghair hai
takiya hai apni ja pe na chadar ba-KHair hai
chizen jo mez pe thin wo sab hi palaT gain
takiya hai apni ja pe na chadar ba-KHair hai
chizen jo mez pe thin wo sab hi palaT gain
ek ek kar ke sari kitaben ulaT gain
kamre ka haal ghair hai aa kar bachaiye
ammi KHuda ke waste ab aa bhi jaiye
ammi ye sun kar dauD kar aain ba-iztirab
abba se ham-kalam huin aate hi shitab
kya kar rahe hain aap zara hosh kijiye
rakhi kahan thi aap ne ainak ye sochiye
abba ye kahne pae the ki bas usi jagah
itne mein ammi bol uThin KHub wah wa
wallah kis kamal ke hain aap aadmi
ajdad mein do ek rahe honge falsafi
kije durust jaiye collage ba-sad shitab
ainak dhari hai aap ki peshani pe janab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.