abbu ji
itnā kyoñ nārāz ho mujh par yuuñ mat DāñTo abbū jī
maiñ huuñ nanhā-munnā bachcha itnā jaano abbū jī
yuuñ mat DāñTo abbū jī
tum bhī pahle bachche hī the ye mat bhūlo abbū jī
naTkhaT bhī mujh jaise hī the ye mat bhūlo abbū jī
jis din zid farmā.ī hogī daadā se aur daadī se
us din maar bhī khaa.ī hogī daadā se aur daadī se
bachpan naam sharārat kā hai tum bhī samjho abbū jī
yuuñ mat DāñTo abbū jī
shaitānī bhī karte hoñge sach batlāo abbū jī
man-mānī bhī karte hoñge sach batlāo abbū jī
toḌ bhī Dāleñ hoñge tum ne khel khilaune chāchā ke
aur kabhī kar Daale hoñge kapḌe gande daadā ke
saarī bāteñ yaad karo phir mujh ko dekho abbū jī
yuuñ mat DāñTo abbū jī
nāġha bhī ho jaatī hogī hafte meñ schōl kabhī
paḌhte paḌhte roz sabaq ko baiThe hoñge bhuul kabhī
teacher jī ne ġhussa ho kar tum ko murġh banāyā hogā
hañste hoñge sab ham-jolī ḳhuub maza phir aayā hogā
jo kuchh mujh se bhuul huī hai muaaf bhī kar do abbū jī
yuuñ mat DāñTo abbū jī
itna kyon naraaz ho mujh par yun mat DanTo abbu ji
main hun nanha-munna bachcha itna jaano abbu ji
yun mat DanTo abbu ji
tum bhi pahle bachche hi the ye mat bhulo abbu ji
naTkhaT bhi mujh jaise hi the ye mat bhulo abbu ji
jis din zid farmai hogi dada se aur dadi se
us din mar bhi khai hogi dada se aur dadi se
bachpan nam shararat ka hai tum bhi samjho abbu ji
yun mat DanTo abbu ji
shaitani bhi karte honge sach batlao abbu ji
man-mani bhi karte honge sach batlao abbu ji
toD bhi Dalen honge tum ne khel khilaune chacha ke
aur kabhi kar Dale honge kapDe gande dada ke
sari baaten yaad karo phir mujh ko dekho abbu ji
yun mat DanTo abbu ji
nagha bhi ho jati hogi hafte mein school kabhi
paDhte paDhte roz sabaq ko baiThe honge bhul kabhi
teacher ji ne ghussa ho kar tum ko murgh banaya hoga
hanste honge sab ham-joli KHub maza phir aaya hoga
jo kuchh mujh se bhul hui hai muaf bhi kar do abbu ji
yun mat DanTo abbu ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.